koi aashiq kisi mahbuba se!
yaad kī rāhguzar jis pe isī sūrat se
muddateñ biit ga.ī haiñ tumheñ chalte chalte
ḳhatm ho jaa.e jo do chaar qadam aur chalo
moḌ paḌtā hai jahāñ dasht-e-farāmoshī kā
jis se aage na koī maiñ huuñ na koī tum ho
saañs thāme haiñ nigāheñ ki na jaane kis dam
tum palaT aao guzar jaao yā muḌ kar dekho
garche vāqif haiñ nigāheñ ki ye sab dhokā hai
gar kahīñ tum se ham-āġhosh huī phir se nazar
phuuT niklegī vahāñ aur koī rāhguzar
phir isī tarah jahāñ hogā muqābil paiham
sāya-e-zulf kā aur jumbish-e-bāzū kā safar
Some Lover to His Beloved
dūsrī baat bhī jhūTī hai ki dil jāntā hai
yaañ koī moḌ koī dasht koī ghaat nahīñ
jis ke parde meñ mirā māh-e-ravāñ Duub sake
tum se chaltī rahe ye raah, yūñhī achchhā hai
tum ne muḌ kar bhī na dekhā to koī baat nahīñ
This path of memory on which you have been trudging
for ages
if you press on a few steps further, it will wind off
to where one encounters the wilderness of oblivion,
at the bend beyond which neither I exist, nor you.
The eyes hold their breath and wonder
if you'd come back, pass by, or look back.
yaad ki rahguzar jis pe isi surat se
muddaten bit gai hain tumhein chalte chalte
KHatm ho jae jo do chaar qadam aur chalo
moD paDta hai jahan dasht-e-faramoshi ka
jis se aage na koi main hun na koi tum ho
sans thame hain nigahen ki na jaane kis dam
tum palaT aao guzar jao ya muD kar dekho
garche waqif hain nigahen ki ye sab dhoka hai
gar kahin tum se ham-aghosh hui phir se nazar
phuT niklegi wahan aur koi rahguzar
phir isi tarah jahan hoga muqabil paiham
saya-e-zulf ka aur jumbish-e-bazu ka safar
Some Lover to His Beloved
dusri baat bhi jhuTi hai ki dil jaanta hai
yan koi moD koi dasht koi ghat nahin
jis ke parde mein mera mah-e-rawan Dub sake
tum se chalti rahe ye rah, yunhi achchha hai
tum ne muD kar bhi na dekha to koi baat nahin
This path of memory on which you have been trudging
for ages
if you press on a few steps further, it will wind off
to where one encounters the wilderness of oblivion,
at the bend beyond which neither I exist, nor you.
The eyes hold their breath and wonder
if you'd come back, pass by, or look back.
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 286)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.