koi aawaz deta hai
koī āvāz detā hai
harīr-o-parniyāñ jaisī sadāoñ meñ
koī mujh ko bulātā hai
kuchh aisā lams hai āvāz kā jaise
achānak fāḳhta ke Dher se komal paroñ par haath paḌ jaa.e
aur un meñ Dūbtā jaa.e
bahut hī duur se aatī sadā hai
maiñ lafzoñ ke ma.ānī kī gavāhī de nahīñ saktī
magar har lafz meñ ghuñgrū bañdhe haiñ
harīm-e-jān meñ un ke paañv dharte hī
ka.ī bechain pāzebeñ dhaḌaktī haiñ
lamhoñ meñ ek dīvālī sī sajtī hai
koī āvāz detā hai
harīr-o-parniyāñ jaisī sadāoñ meñ
koī mujh ko bulātā hai
koi aawaz deta hai
harir-o-parniyan jaisi sadaon mein
koi mujh ko bulata hai
kuchh aisa lams hai aawaz ka jaise
achanak faKHta ke Dher se komal paron par hath paD jae
aur un mein Dubta jae
bahut hi dur se aati sada hai
main lafzon ke maani ki gawahi de nahin sakti
magar har lafz mein ghungru bandhe hain
harim-e-jaan mein un ke panw dharte hi
kai bechain pazeben dhaDakti hain
lamhon mein ek diwali si sajti hai
koi aawaz deta hai
harir-o-parniyan jaisi sadaon mein
koi mujh ko bulata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.