koi aur radd-e-amal
mu'āfī
baḌā dil
ye ausāf yuuñ bhī gunahgār aur tajriba-kār logoñ ke haiñ
aur karam hai ḳhudā kā
ki vo aise logoñ meñ shāmil nahīñ
judā hai to kyā
'umr bhar ham kabhī ab nahīñ bhī mileñge to kyā
ye tasallī hī mujh ko bahut hai
ki vo
ek chhoTī sī laġhzish pe bhī mujh se
is darja nārāz hai
koī aur radd-e-'amal
us ko mashkūk kar detā merī nazar meñ
mu'afi
baDa dil
ye ausaf yun bhi gunahgar aur tajriba-kar logon ke hain
aur karam hai KHuda ka
ki wo aise logon mein shamil nahin
juda hai to kya
'umr bhar hum kabhi ab nahin bhi milenge to kya
ye tasalli hi mujh ko bahut hai
ki wo
ek chhoTi si laghzish pe bhi mujh se
is darja naraaz hai
koi aur radd-e-'amal
us ko mashkuk kar deta meri nazar mein
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 124)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.