Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi baat nahin

Geetanjali Geet

koi baat nahin

Geetanjali Geet

MORE BYGeetanjali Geet

    dard likhā hai achchhā likkhā hai

    dil par jo biitī vo koī baat nahīñ

    TuuT kar likhne lagī achchhā likhne lagī

    mohabbat hai mujh se vo koī baat nahīñ

    ḳhush huuñ maiñ ye kyā likkhā hai

    likhā hai ro kar vo koī baat nahīñ

    ābād huuñ maiñ ye kyā likkhā hai

    haañ likhā barbād ho kar vo koī baat nahīñ

    chalte chalte thak ga.ī achchhā likhā hai

    paiham mujhe pukārtī rahī vo koī baat nahīñ

    hasrateñ martī chalī ga.iiñ achchhā likhā hai

    qātil maiñ huuñ ḳhair vo koī baat nahīñ

    ḳhāmosh ho ga.ī huuñ ye kyā likhā hai

    qazā alāmat hai vo koī baat nahīñ

    rahī huuñ ye kyā likhā hai

    achchhā to chalī ga.ī vo koī baat nahīñ

    dard likha hai achchha likkha hai

    dil par jo biti wo koi baat nahin

    TuT kar likhne lagi achchha likhne lagi

    mohabbat hai mujh se wo koi baat nahin

    KHush hun main ye kya likkha hai

    likha hai ro kar wo koi baat nahin

    aabaad hun main ye kya likkha hai

    han likha barbaad ho kar wo koi baat nahin

    chalte chalte thak gai achchha likha hai

    paiham mujhe pukarti rahi wo koi baat nahin

    hasraten marti chali gain achchha likha hai

    qatil main hun KHair wo koi baat nahin

    KHamosh si ho gai hun ye kya likha hai

    qaza ki alamat hai wo koi baat nahin

    ja rahi hun ye kya likha hai

    achchha to chali gai wo koi baat nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now