koi basti ki mujh mein basti hai
maiñ āḳhir kis kī jāgat jāgtā huuñ
papoToñ meñ ye kis paanī kā namkin zā.iqa hai
mirī putlī meñ kis kī raat hai
aur qarniya meñ kaun se yug kā saverā hai
ye din bhar kaun
mizhgānī kivāḌoñ ko musalsal kholtā aur band kartā hai
mirī tār-e-nazar par baiTh kar
āḳhir zamāne meñ nazar kis kī utartī hai
maiñ āñkhoñ se ye kis manzar ke andar bhāgtā huuñ
maiñ āḳhir kis kī jāgat jāgtā huuñ?
bhalā maiñ kis kā sonā so rahā huuñ
ye reg-ḳhvāb par bante bigaḌte kyā nishāñ haiñ
mire andar to jitne qāfile chalte haiñ
saare ajnabī haiñ
maiñ har ik ḳhvāb meñ koī shanāsā DhūñDtā huuñ
ye kaisī aurteñ haiñ
jo sar meñ ret kā afshāñ bhare
mujh ko jakaḌtī haiñ
jo bād-az-iḳhtalāt aahoñ se chīḳhoñ se pighal kar
ret ho jaatī haiñ giilī ret meñ!!
ye bachche kis sadī ke haiñ
jo apne qahqaha-āvar khilaune mere hāthoñ meñ
thamā kar bhaag jaate haiñ
ye kis mābad ke jogī haiñ
sahīfoñ kī zabāñ meñ bolte haiñ
in ke farġhul phaḌ.phaḌāte haiñ
havā meñ riish uḌtī hai
ye maiñ kis kī ḳhushī ko hañs rahā huuñ
kis kā ronā ro rahā huuñ
bhalā maiñ kis kā sonā so rahā huuñ?
maiñ āḳhir kis kā jiinā jī rahā huuñ
maiñ sahrā kā shajar huuñ
jis kī shāḳheñ ghoñsloñ se jhuk ga.ī haiñ
kirā.e kā makāñ huuñ
jis ke kamroñ meñ parā.e log rahte haiñ
farāz-e-koh par koī purānā ġhaar huuñ maiñ
havā se gūñjtā sāya-zada vīrāñ khañDar huuñ
kabhī huuñ īstāda aur kabhī mismār huuñ maiñ
fasīl-e-shahr hoñ yā sāya-e-dīvār huuñ maiñ
mire andar se hī koī mujhe batlā.e
maiñ kyā huuñ?
mire ḳhaliyoñ ke giile markazoñ meñ band
D-n-a mire maañ baap kā hai
jo is ke gird paanī hai
vo kis bechain sayyāre ke sāgar se uThā hai
maiñ kis ko bhogtā huuñ
ye āḳhir kaun mujh meñ gūñjtā hai
sansanātā hai
maiñ āḳhir kis kā honā ho rahā huuñ
main aaKHir kis ki jagat jagta hun
papoTon mein ye kis pani ka namkin zaiqa hai
meri putli mein kis ki raat hai
aur qarniya mein kaun se yug ka sawera hai
ye din bhar kaun
mizhgani kiwaDon ko musalsal kholta aur band karta hai
meri tar-e-nazar par baiTh kar
aaKHir zamane mein nazar kis ki utarti hai
main aankhon se ye kis manzar ke andar bhagta hun
main aaKHir kis ki jagat jagta hun?
bhala main kis ka sona so raha hun
ye reg-KHwab par bante bigaDte kya nishan hain
mere andar to jitne qafile chalte hain
sare ajnabi hain
main har ek KHwab mein koi shanasa DhunDta hun
ye kaisi aurten hain
jo sar mein ret ka afshan bhare
mujh ko jakaDti hain
jo baad-az-iKHtalat aahon se chiKHon se pighal kar
ret ho jati hain gili ret mein!!
ye bachche kis sadi ke hain
jo apne qahqaha-awar khilaune mere hathon mein
thama kar bhag jate hain
ye kis mabad ke jogi hain
sahifon ki zaban mein bolte hain
in ke farghul phaDphaDate hain
hawa mein rish uDti hai
ye main kis ki KHushi ko hans raha hun
kis ka rona ro raha hun
bhala main kis ka sona so raha hun?
main aaKHir kis ka jina ji raha hun
main sahra ka shajar hun
jis ki shaKHen ghonslon se jhuk gai hain
kirae ka makan hun
jis ke kamron mein parae log rahte hain
faraaz-e-koh par koi purana ghaar hun main
hawa se gunjta saya-zada viran khanDar hun
kabhi hun istada aur kabhi mismar hun main
fasil-e-shahr hon ya saya-e-diwar hun main
mere andar se hi koi mujhe batlae
main kya hun?
mere KHaliyon ke gile markazon mein band
D-n-a mere man bap ka hai
jo is ke gird pani hai
wo kis bechain sayyare ke sagar se uTha hai
main kis ko bhogta hun
ye aaKHir kaun mujh mein gunjta hai
sansanata hai
main aaKHir kis ka hona ho raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.