koi bhi kaam sarsari na karo
koī bhī kaam sarsarī na karo
kāhiloñ kī barābarī na karo
mehnateñ roz sub.h-o-shām karo
ḳhuub ‘ilm-o-hunar meñ naam karo
chāhe shatranj ho ki cricket ho
apnā har khel jītnā sīkho
chāhe fōtball ho ki volley-bāl
jītnā hai tumheñ to vo har haal
chāhe añgrezī ho ki algebra
vo chemistry sahī hisāb sahī
jī lagā kar paḌhā karo sab kuchh
chāhe allāh kī kitāb sahī
sāmne hai tumhāre computer
na.ī duniyā kā sāmnā hai tumheñ
vaqt ke saath saath chalnā hai
vaqt kā haath thāmnā hai tumheñ
koi bhi kaam sarsari na karo
kahilon ki barabari na karo
mehnaten roz subh-o-sham karo
KHub ‘ilm-o-hunar mein nam karo
chahe shatranj ho ki cricket ho
apna har khel jitna sikho
chahe football ho ki wolley-baal
jitna hai tumhein to wo har haal
chahe angrezi ho ki algebra
wo chemistry sahi hisab sahi
ji laga kar paDha karo sab kuchh
chahe allah ki kitab sahi
samne hai tumhaare computer
nai duniya ka samna hai tumhein
waqt ke sath sath chalna hai
waqt ka hath thamna hai tumhein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.