koi gham nahin hai
bahut din hue haiñ
dinoñ kī udāsī
shaboñ kī qayāmat
rifāqat kī vahshat
judā.ī ke sadme
masarrat kī ḳhvāhish
sabhī ek jaise
purāne se manzar
in āñkhoñ ke dar par
purānī sī bāteñ
shikasta laboñ par
vahī rasm-dārī
vo chaa.e kī pyālī
vahī qahqahe haiñ
diloñ kī tahoñ meñ
vahī tīrgī hai
vo ḳhālī sā kamra
vahī be-hisī hai
vahī rāt-din haiñ
vahī zindagī hai
bahut din hue haiñ
koī ġham nahīñ hai
bahut din hue hain
dinon ki udasi
shabon ki qayamat
rifaqat ki wahshat
judai ke sadme
masarrat ki KHwahish
sabhi ek jaise
purane se manzar
in aankhon ke dar par
purani si baaten
shikasta labon par
wahi rasm-dari
wo chae ki pyali
wahi qahqahe hain
dilon ki tahon mein
wahi tirgi hai
wo KHali sa kamra
wahi be-hisi hai
wahi raat-din hain
wahi zindagi hai
bahut din hue hain
koi gham nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.