koi kuchh nahin?
ḳhair
koī rabt hī nahīñ
vaqt kī tavīl Dor ne
be-irāda ek kar diyā
sub.h o shaam ghuum ghuum kar zamīñ
giraft aur saḳht aur saḳht kar ga.ī
jaane aaj kyuuñ vahī
dhāge merī shāh-rag meñ
duur tak dhañse hue
vo sirā hī maiñ ne kho diyā
jis se log
uljhe suljhe tāne-bāne khol kar
yuuñ alag nikal ga.e
jaise vaqt kuchh nahīñ
vo saare rāste
jin pe gāmzan rahe
vo saare ham-safar
jo saath saath chal rahe the
kuchh nahīñ
koī kuchh nahīñ
KHair
koi rabt hi nahin
waqt ki tawil Dor ne
be-irada ek kar diya
subh o sham ghum ghum kar zamin
giraft aur saKHt aur saKHt kar gai
jaane aaj kyun wahi
dhage meri shah-rag mein
dur tak dhanse hue
wo sira hi main ne kho diya
jis se log
uljhe suljhe tane-bane khol kar
yun alag nikal gae
jaise waqt kuchh nahin
wo sare raste
jin pe gamzan rahe
wo sare ham-safar
jo sath sath chal rahe the
kuchh nahin
koi kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.