koi qimat lagane wala ho
koī qīmat lagāne vaalā ho
maiñ bhī nīlām hone aayā huuñ
apne maazī ke bojh haiñ sar par
ghaḌiyāñ bhar bhar ke dard laayā huuñ
ai merī be-zabān be-zārī
mujh se itnā na ruuTh mere liye
maiñ ne apne hasīn lamhoñ meñ
tujh ko shādābiyoñ ke ḳhvāb diye
ab vo sab ḳhvāb kab ke TuuT chuke
saare ehsās TūT-phūT chuke
vaqt kī be-sabāt rāhoñ meñ
saare chehre gulāb chhūT chuke
ab to bas kuchh bachī-khuchī yādeñ
aur kuchh tishna sī mulāqāteñ
hasrateñ haiñ ki jin kī tābānī
merī mīrās hai maiñ laayā huuñ
koī qīmat lagāne vaalā ho
maiñ bhī nīlām hone aayā huuñ
koi qimat lagane wala ho
main bhi nilam hone aaya hun
apne mazi ke bojh hain sar par
ghaDiyan bhar bhar ke dard laya hun
ai meri be-zaban be-zari
mujh se itna na ruTh mere liye
main ne apne hasin lamhon mein
tujh ko shadabiyon ke KHwab diye
ab wo sab KHwab kab ke TuT chuke
sare ehsas TuT-phuT chuke
waqt ki be-sabaat rahon mein
sare chehre gulab chhuT chuke
ab to bas kuchh bachi-khuchi yaaden
aur kuchh tishna si mulaqaten
hasraten hain ki jin ki tabani
meri miras hai main laya hun
koi qimat lagane wala ho
main bhi nilam hone aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.