jab bahār-rut aa.e
baaġh phuul mahkā.eñ
bārishoñ kā mausam ho
badliyāñ baras jaa.eñ
sukh rutoñ kī Daalī par
chain pyaar jhūmā.eñ
apne man ke mahram ko
koī gar sadā.eñ de
apnī jaañ kā nazrāna
sham.a par luTā.e jo
sāvanoñ ke mausam meñ aisā dekho parvāna
badliyoñ kī chhāñv meñ bārishoñ ke mausam meñ
dekho tum samajh jaanā
dekho tum bhī lauT aanā
koī raah taktā hai
jab bahaar-rut aae
bagh phul mahkaen
barishon ka mausam ho
badliyan baras jaen
sukh ruton ki Dali par
chain pyar jhumaen
apne man ke mahram ko
koi gar sadaen de
apni jaan ka nazrana
shama par luTae jo
sawanon ke mausam mein aisa dekho parwana
badliyon ki chhanw mein barishon ke mausam mein
dekho tum samajh jaana
dekho tum bhi lauT aana
koi rah takta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.