koi tagore ki kawita hai
koī tagore kī kavitā hai
log jab shā.irī meñ jiite the
tū usī daur kī kavitā hai
dūdhiyā rāste ke kone meñ
apne hone meñ aur na hone meñ
jaane kitne baras sukūñ kar ke
apnī āvāz meñ junūñ bhar ke
phailtī raat ke kināre par
bheḌiyā māhtāb se uljhe
ik haqīqat baḌī samājat se
apnī marzī ke ḳhvāb se uljhe
dard ke dil-fareb rishte meñ
jaise gañgā chanāb se uljhe
ishq ne hausla diyā varna
kis meñ himmat janāb se uljhe
dil ke bañgāl kī ḳhalījoñ meñ
gūñjte shor kī kavitā hai
tujh ko silhaT meñ soch kar likkhā
tū ki lahore kī kavitā hai
māntā hī nahīñ hai dil merā
tū kisī aur kī kavitā hai
koi tagore ki kawita hai
log jab shairi mein jite the
tu usi daur ki kawita hai
dudhiya raste ke kone mein
apne hone mein aur na hone mein
jaane kitne baras sukun kar ke
apni aawaz mein junun bhar ke
phailti raat ke kinare par
bheDiya mahtab se uljhe
ek haqiqat baDi samajat se
apni marzi ke KHwab se uljhe
dard ke dil-fareb rishte mein
jaise ganga chanab se uljhe
ishq ne hausla diya warna
kis mein himmat janab se uljhe
dil ke bangal ki KHalijon mein
gunjte shor ki kawita hai
tujh ko silhaT mein soch kar likkha
tu ki lahore ki kawita hai
manta hi nahin hai dil mera
tu kisi aur ki kawita hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.