koi to baat aisi thi
koī to baat aisī thī
judā.ī kā sabab Thahrī
jo sadiyoñ ke safar se thī
magar palkoñ pe pul ban kar khaTaktī hai
nafas meñ aa ke chubhtī hai
jo dil meñ chhed kartī hai
zamāne par ayaañ sab bhed kartī hai
karūñ jab yaad to ye saañs ruktā hai
ye dil tham tham ke chaltā hai
koī to baat aisī thī
koi to baat aisi thi
judai ka sabab Thahri
jo sadiyon ke safar se thi
magar palkon pe pul ban kar khaTakti hai
nafas mein aa ke chubhti hai
jo dil mein chhed karti hai
zamane par ayan sab bhed karti hai
karun jab yaad to ye sans rukta hai
ye dil tham tham ke chalta hai
koi to baat aisi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.