koi wahima to nahin
ġhazāla
ka.ī baar pūchhā hai maiñ ne
dhuñdhlakoñ meñ shab ke
maze shahr ke chār-mīnār se
jo ahl-e-dakan kī mohabbat kā model hai ab tak
ka.ī baar pūchhā
tujhī ko sar-e-bazm kyoñ maiñ ne dekhā
jo dekhā to kyoñ der tak tujh ko dekhā kiyā
mujhe yuuñ lagā
mere bachpan kī khoī huī aarzū kā nishāñ mil gayā
tirā ruup aazar kā husn-e-tafakkur
koī vāhima to nahīñ
ye āñkheñ jo ḳhayyām kā mai-kada haiñ
koī hādisa to nahīñ
koī ḳhvāb-e-rangīñ jo ta.abīr kī vādiyoñ tak na pahuñchā
koī mere pichhle janam kī adhūrī tamanna
ġhazāla
agar shiddat-e-ārzū meñ sadāqat hai apnī
to agle janam meñ kisī moḌ par phir mileñge
ye āvā-gavan ke hasīñ silsile to abad tak raheñge
tamannā.eñ sheroñ meñ Dhaltī raheñgī
ghazala
kai bar puchha hai main ne
dhundhlakon mein shab ke
maze shahr ke chaar-minar se
jo ahl-e-dakan ki mohabbat ka model hai ab tak
kai bar puchha
tujhi ko sar-e-bazm kyon main ne dekha
jo dekha to kyon der tak tujh ko dekha kiya
mujhe yun laga
mere bachpan ki khoi hui aarzu ka nishan mil gaya
tera rup aazar ka husn-e-tafakkur
koi wahima to nahin
ye aankhen jo KHayyam ka mai-kada hain
koi hadisa to nahin
koi KHwab-e-rangin jo tabir ki wadiyon tak na pahuncha
koi mere pichhle janam ki adhuri tamanna
ghazala
agar shiddat-e-arzu mein sadaqat hai apni
to agle janam mein kisi moD par phir milenge
ye aawa-gawan ke hasin silsile to abad tak rahenge
tamannaen sheron mein Dhalti rahengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.