kolaz
saarī chilmaneñ
tīliyoñ kī shakl meñ bikhar chukī haiñ
kamzor dhāge
kahāniyāñ banñe se aarī
momī sham.eñ pighal pighal kar zamīñ-bos
parvāne rāsta bhaTak chuke haiñ
be-rañg os ke dhabbe
jā-ba-jā āñganoñ meñ phaile haiñ
sūraj ne āñkheñ nahīñ kholīñ
qatra qatra pī rahī hai ghaas
chāñd kī jhūTī sharāb
ḳhākistarī yādoñ kī bāra-darī meñ
an-chāhe qadmoñ kī bāzgasht
ubhartī Dūbtī rahtī hai
zabān kī nok par zahr kī chand būñdeñ
maidān-e-harb se
ḳhabar aane tak
yā phir us añgushtarī ke kho jaane tak
sari chilmanen
tiliyon ki shakl mein bikhar chuki hain
kamzor dhage
kahaniyan banne se aari
momi shamen pighal pighal kar zamin-bos
parwane rasta bhaTak chuke hain
be-rang os ke dhabbe
ja-ba-ja aanganon mein phaile hain
suraj ne aankhen nahin kholin
qatra qatra pi rahi hai ghas
chand ki jhuTi sharab
KHakistari yaadon ki bara-dari mein
an-chahe qadmon ki bazgasht
ubharti Dubti rahti hai
zaban ki nok par zahr ki chand bunden
maidan-e-harb se
KHabar aane tak
ya phir us angushtari ke kho jaane tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.