kora bartan
vo raah chalte hue milī thī
vo jis ke chashme ke moTe shīshoñ pe zaat ke dukh kī gard kī tah
jamī huī thī
vo jis ke chehre
vo jis ke māthe par ik musalsal safar kā nauha likhā huā thā
vo jis kī āñkhoñ meñ
ratjagoñ kī azāb-dīda zahr kī ḳhushbū rachī huī thī
vo jis kī bātoñ meñ
us ke andar kā zard sannāTā boltā thā
vo ek laḌkī
jo korā bartan thī
jis kā fāteh hī us kā maftūh
vo korā bartan
ki jis ko jiine kā lams dene kī andhī ḳhvāhish
hamesha vasl-e-nafī kī sūrat meñ
apne fāteh ko mārtī hai
vo ek laḌkī
vo ek lamhe meñ raah chalte hue milī thī
vo zindagī ke tamām barsoñ tamām sāloñ pe chhā ga.ī hai
wo rah chalte hue mili thi
wo jis ke chashme ke moTe shishon pe zat ke dukh ki gard ki tah
jami hui thi
wo jis ke chehre
wo jis ke mathe par ek musalsal safar ka nauha likha hua tha
wo jis ki aankhon mein
ratjagon ki azab-dida zahr ki KHushbu rachi hui thi
wo jis ki baaton mein
us ke andar ka zard sannaTa bolta tha
wo ek laDki
jo kora bartan thi
jis ka fateh hi us ka maftuh
wo kora bartan
ki jis ko jine ka lams dene ki andhi KHwahish
hamesha wasl-e-nafi ki surat mein
apne fateh ko marti hai
wo ek laDki
wo ek lamhe mein rah chalte hue mili thi
wo zindagi ke tamam barson tamam salon pe chha gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.