koya
zamīñ kī ka.ī gardisheñ
merī sochoñ ke pattoñ meñ
chhup kar
hasīñ reshmīñ sāzisheñ bun rahī haiñ
hasīñ reshmīñ sāzisheñ
jin se
kal kī qabā
aane vaale dhuñdlakoñ ke ujle amāme
na.ī sā.atoñ ke dupaTTe buneñge
hasīñ reshmīñ sāzisheñ
jin se
ūñche mahallāt kī ḳhvāb-gāhoñ
ke bārīk parde
munaqqash ġhilāfoñ meñ lipTe hue
narm takiye buneñge
hasīñ reshmīñ sāzisheñ
aadmī ke liye
apnī āñkhoñ se chhupne kī ḳhvāhish ko puurā kareñgī
na.e aane vaale ma.ānī kī uryāniyāñ Dhāñp leñgī
zamin ki kai gardishen
meri sochon ke patton mein
chhup kar
hasin reshmin sazishen bun rahi hain
hasin reshmin sazishen
jin se
kal ki qaba
aane wale dhundlakon ke ujle amame
nai saaton ke dupaTTe bunenge
hasin reshmin sazishen
jin se
unche mahallat ki KHwab-gahon
ke barik parde
munaqqash ghilafon mein lipTe hue
narm takiye bunenge
hasin reshmin sazishen
aadmi ke liye
apni aankhon se chhupne ki KHwahish ko pura karengi
nae aane wale maani ki uryaniyan Dhanp lengi
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-276 p-264)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.