koyal
o chaman kī ajnabī chiḌiyā! kahāñ thī aah! tū
kyā kisī sahrā ke dāman meñ nihāñ thī aah! tū
tere dilkash zamzame the sabza-zāroñ meñ ḳhamosh
āshiyāna thā tirā gulshan meñ bazm-e-be-ḳharosh
khīñchtī vaqt-e-sahar dil ko tirī kū-kū na thī
chhāñv meñ tāroñ kī mahv-e-naġhma-e-dil-jū na thī
mausam-e-sarmā meñ ai sarmāya-e-sabr-o-shakeb
be-sadā terā pas-e-parda thā sāz-e-dil-fareb
marhabā ai paikar-e-paik-e-subuk-gām-e-bahār
le ke phir tū garmiyoñ meñ aa.ī paiġhām-e-bahār
tū idhar aa.ī fazā-e-gul kā daur aayā udhar
tū ne gaa.e giit aur aamoñ kā baur aayā udhar
tā.irān-e-bāġh ne chheḌā hai sāz-e-imbisāt
tere maqdam meñ hai shāḳhoñ par ham-āhang-e-nashāt
pahnī nannhī nannhī kaliyoñ ne qabā-e-shabnamīñ
aa rahī hai kaan meñ terī sadā-e-dil-nashīñ
koī anjum āsmāñ kā aur subuk parvāz-e-shauq
rahnumā hai kyā tirā dil-dāda-e-andāz-e-shauq
tū jo aane vaale mausam kā nishāñ paatī huī
apnī manzil par pahuñch jaatī hai yuuñ gaatī huī
tere maqdam meñ shakeb-e-ḳhātir-e-nā-shād maiñ
mausam-e-gul ko bhī detā huuñ mubārakbād maiñ
tū chaman meñ uḌ ke kyā aa.ī ki aa pahuñchī bahār
gā rahī haiñ chhoTī chiḌiyāñ sabz kunjoñ meñ malhār
dāman-e-rañgīñ meñ ik doshīza-e-nākat-ḳhudā
chun rahī hai nannhī nannhī surḳh kaliyāñ ḳhushnumā
aur tujh se ham-surūd-e-naġhma-e-ejāz hai
bazm-e-qudrat meñ tirī goyā sharīk-e-rāz hai
mīThe naġhme gaane vaalī o chaman kī nāznīñ
hai tar-o-tāza hamesha terā kunj-e-dil-nashīñ
aur musaffā hai fazā-e-āsmāñ tere liye
hai shafaq-jām-e-sharāb-e-arġhavāñ tere liye
tere naġhmoñ meñ asar andoh-e-hirmāñ kā nahīñ
saal meñ tere guzar fasl-e-zamistāñ kā nahīñ
mujh ko qassam-e-azal detā agar do bāl-o-par
uḌ ke hotā maiñ bhī tere saath sargarm-e-safar
ban ke ham donoñ rafīq-e-mausam-e-josh-e-bahār
karte ḳhush ḳhush har baras gul-gasht-e-dasht-o-kohsār
o chaman ki ajnabi chiDiya! kahan thi aah! tu
kya kisi sahra ke daman mein nihan thi aah! tu
tere dilkash zamzame the sabza-zaron mein KHamosh
aashiyana tha tera gulshan mein bazm-e-be-KHarosh
khinchti waqt-e-sahar dil ko teri ku-ku na thi
chhanw mein taron ki mahw-e-naghma-e-dil-ju na thi
mausam-e-sarma mein ai sarmaya-e-sabr-o-shakeb
be-sada tera pas-e-parda tha saz-e-dil-fareb
marhaba ai paikar-e-paik-e-subuk-gam-e-bahaar
le ke phir tu garmiyon mein aai paigham-e-bahaar
tu idhar aai faza-e-gul ka daur aaya udhar
tu ne gae git aur aamon ka baur aaya udhar
tairan-e-bagh ne chheDa hai saz-e-imbisat
tere maqdam mein hai shaKHon par ham-ahang-e-nashat
pahni nannhi nannhi kaliyon ne qaba-e-shabnamin
aa rahi hai kan mein teri sada-e-dil-nashin
koi anjum aasman ka aur subuk parwaz-e-shauq
rahnuma hai kya tera dil-dada-e-andaz-e-shauq
tu jo aane wale mausam ka nishan pati hui
apni manzil par pahunch jati hai yun gati hui
tere maqdam mein shakeb-e-KHatir-e-na-shad main
mausam-e-gul ko bhi deta hun mubarakbaad main
tu chaman mein uD ke kya aai ki aa pahunchi bahaar
ga rahi hain chhoTi chiDiyan sabz kunjon mein malhaar
daman-e-rangin mein ek doshiza-e-nakat-KHuda
chun rahi hai nannhi nannhi surKH kaliyan KHushnuma
aur tujh se ham-surud-e-naghma-e-ejaz hai
bazm-e-qudrat mein teri goya sharik-e-raaz hai
miThe naghme gane wali o chaman ki naznin
hai tar-o-taza hamesha tera kunj-e-dil-nashin
aur musaffa hai faza-e-asman tere liye
hai shafaq-jam-e-sharab-e-arghawan tere liye
tere naghmon mein asar andoh-e-hirman ka nahin
sal mein tere guzar fasl-e-zamistan ka nahin
mujh ko qassam-e-azal deta agar do baal-o-par
uD ke hota main bhi tere sath sargarm-e-safar
ban ke hum donon rafiq-e-mausam-e-josh-e-bahaar
karte KHush KHush har baras gul-gasht-e-dasht-o-kohsar
- Book : Durga Sahaye Suroor Jahanabadi(Tehqiqi aur Tanqidi Jaizay) (Pg. 269)
- Author : Alif Nazim, Asad barkati
- Publication : Educational Publishing House (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.