kuan aur Dol
kueñ baḌhte haiñ
baḌhtī jaatī hai pyaas
man Doltā hai
Dol Dālne vāloñ kā
pahle rassī churā leñ
phir Dol
phir kuaañ
sab ek dūsre se pūchhā kareñge
kuaañ dekhā
phir bhuul jā.eñge
kuaañ us kā jis kī rassī aur Dol
qaazī us kā
jis ke paas dirham-o-dīnār
gavāhoñ ne apnī āñkheñ phoḌ lī haiñ
hoñT sī liye haiñ
mahaz shak kī buniyād par
fard-e-jurm aa.ed nahīñ kiyā jaatā
inheñ bā-izzat barī kar do
kuen baDhte hain
baDhti jati hai pyas
man Dolta hai
Dol Dalne walon ka
pahle rassi chura len
phir Dol
phir kuan
sab ek dusre se puchha karenge
kuan dekha
phir bhul jaenge
kuan us ka jis ki rassi aur Dol
qazi us ka
jis ke pas dirham-o-dinar
gawahon ne apni aankhen phoD li hain
honT si liye hain
mahaz shak ki buniyaad par
fard-e-jurm aaed nahin kiya jata
inhen ba-izzat bari kar do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.