kuchh lafz the
kis qadar kamzor hai merā vajūd
kis qadar be-mehr hai duniyā mirī
kis qadar be-ant hai ḳhvāboñ kī dhund
jab nikaltā huuñ sahar-dam shahr meñ
koī shai detī nahīñ apnā patā
bhūlne lagtā huuñ apnā naam tak
dhuup meñ uḌte hue phūloñ ke rang
shāḳh par mahv-e-suḳhan chiḌiyoñ ke ġhol
aa.ine zar se sitāre vasvase
sab ne pahnā ajnabiyyat kā libās
miT ga.ī pahchān ḳhūn-o-zisht kī
uḌ ga.ī miTTī se āb-o-tāb-e-shab
ruk ga.ī ik moḌ par fasl-e-nabāt
kho ga.e mujh se achānak mere lafz
lafz haañ kuchh lafz the jin ke liye
muztarib rahte the mere jism-o-jāñ
sarsarāte the lahū meñ shesh-nāg
jam.a hotī thī mire siine meñ aag
jis ke pahlū meñ kabhī ḳhvābīda the
ḳhvāb-o-ḳhushbū se mahakte ḳhāna-e-bāġh
jin meñ lau dete the us ke surḳh hoñT
aur mirī āñkheñ mire siine ke daaġh
kis qadar kamzor hai mera wajud
kis qadar be-mehr hai duniya meri
kis qadar be-ant hai KHwabon ki dhund
jab nikalta hun sahar-dam shahr mein
koi shai deti nahin apna pata
bhulne lagta hun apna nam tak
dhup mein uDte hue phulon ke rang
shaKH par mahw-e-suKHan chiDiyon ke ghol
aaine zar se sitare waswase
sab ne pahna ajnabiyyat ka libas
miT gai pahchan KHun-o-zisht ki
uD gai miTTi se aab-o-tab-e-shab
ruk gai ek moD par fasl-e-nabaat
kho gae mujh se achanak mere lafz
lafz han kuchh lafz the jin ke liye
muztarib rahte the mere jism-o-jaan
sarsaraate the lahu mein shesh-nag
jama hoti thi mere sine mein aag
jis ke pahlu mein kabhi KHwabida the
KHwab-o-KHushbu se mahakte KHana-e-bagh
jin mein lau dete the us ke surKH honT
aur meri aankhen mere sine ke dagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.