kuchh log
duniyā kī lambī rāhoñ par ham yuuñ to chalte jaate haiñ
kuchh aise log bhī milte haiñ jo yaad hamesha aate haiñ
vo raah badalte haiñ apnī aur muḌ kar haath hilāte haiñ
lekin vo diloñ ko yādoñ kī ḳhushbū ban kar mahkāte haiñ
aise hī safar karte-karte ik shaḳhs milā ham ko bhī kahīñ
duniyā meñ achchhe log bahut lekin us kī sī baat nahīñ
vo dhīme lahje vaalā thā aur dhīre se hañstā thā
jitne bhī log mile ham ko sach jaano sab se achchhā thā
thī laag na us ke boloñ meñ kī baat na koī lagāvaT kī
us ke fiqre TūTe-TūTe us kī āñkheñ khoī-khoī
kah kar hī na de jo ham chāheñ sochā hī kare baiThā-baiThā
par dekhe aisī narmī se ik baar to ho jaa.e dhokā
go saath hamārā ḳhuub rahā us ko na huī pahchān bahut
gar buujh le dil kī baat kabhī ho jaatā thā hairān bahut
aur ham us kī hairānī par sharminda ho kar rah jaate
kuchh aur hamārā matlab thā phir der talak ye samjhāte
ab chehra us kā ujlā ho yā āñkheñ us kī hoñ gahrī
yā us ke pyāre hoñToñ kī har baat lage Thahrī-Thahrī
kuchh achchhe log jo achchhe hote haiñ aur rāhoñ meñ mil jaate haiñ
haiñ un ko apne kaam bahut kab apnā vaqt gañvāte haiñ
kab pyāse-pyāse rahte haiñ kab jī ko rog lagāte haiñ
duniya ki lambi rahon par hum yun to chalte jate hain
kuchh aise log bhi milte hain jo yaad hamesha aate hain
wo rah badalte hain apni aur muD kar hath hilate hain
lekin wo dilon ko yaadon ki KHushbu ban kar mahkate hain
aise hi safar karte-karte ek shaKHs mila hum ko bhi kahin
duniya mein achchhe log bahut lekin us ki si baat nahin
wo dhime lahje wala tha aur dhire se hansta tha
jitne bhi log mile hum ko sach jaano sab se achchha tha
thi lag na us ke bolon mein ki baat na koi lagawaT ki
us ke fiqre TuTe-TuTe us ki aankhen khoi-khoi
kah kar hi na de jo hum chahen socha hi kare baiTha-baiTha
par dekhe aisi narmi se ek bar to ho jae dhoka
go sath hamara KHub raha us ko na hui pahchan bahut
gar bujh le dil ki baat kabhi ho jata tha hairan bahut
aur hum us ki hairani par sharminda ho kar rah jate
kuchh aur hamara matlab tha phir der talak ye samjhate
ab chehra us ka ujla ho ya aankhen us ki hon gahri
ya us ke pyare honTon ki har baat lage Thahri-Thahri
kuchh achchhe log jo achchhe hote hain aur rahon mein mil jate hain
hain un ko apne kaam bahut kab apna waqt ganwate hain
kab pyase-pyase rahte hain kab ji ko rog lagate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.