kuchh nahin badalne wala
phir vahī māhaul vahī shor-sharāba
vahī kuchh na.e purāne chehroñ kā bol-bālā
phir se saj ga.ī tabdīliyoñ kī manDiyāñ
par asl meñ kuchh nahīñ badalne vaalā
phir chīḳhte phir rahe bad-havās chehre
phir rache jāneñ lageñ haiñ saDyantr gahre
phir se gūñjne lageñ haiñ fazāoñ meñ na.are
pichhlaggū ban ga.e haiñ kuchh bhuuk ke maare
phir se ye batā.ī jaane lagī badlāv kī bāteñ
phir se kursī qabzāne ko hone lagīñ haiñ ghāteñ
phir se aa gayā hai chunāv kā mausam pāñch-sāla
par asl meñ kuchh nahīñ badalne vaalā
kuchh aa jā.eñge chehre na.e purāne
ban ke rahnumā lag jā.eñge desh ko khāne
phir shurūa hogā aam aadmī kī taqdīr se khel
phir bhejā jā.egā kuchh haare huoñ ko jail
phir se nayāy kā Dhoñg rachāyā jā.egā
aadmī ko roTī ke va.ade se bahlāyā jā.egā
phir se hogā lūT-khasūT kā nañgā naach
phir jhūTh ko batāyā jā.egā sāñch
mujhe jalā.egī mere andar kī aañch
aur TūTte sapne chubheñge ban ke kāñch
phir se zindagī bunñe lagegī makaḌ-jālā
maiñ jāntā huuñ ki kuchh nahīñ badalne vaalā
phir wahi mahaul wahi shor-sharaba
wahi kuchh nae purane chehron ka bol-baala
phir se saj gai tabdiliyon ki manDiyan
par asl mein kuchh nahin badalne wala
phir chiKHte phir rahe bad-hawas chehre
phir rache jaanen lagen hain saDyantr gahre
phir se gunjne lagen hain fazaon mein nare
pichhlaggu ban gae hain kuchh bhuk ke mare
phir se ye batai jaane lagi badlaw ki baaten
phir se kursi qabzane ko hone lagin hain ghaten
phir se aa gaya hai chunaw ka mausam panch-sala
par asl mein kuchh nahin badalne wala
kuchh aa jaenge chehre nae purane
ban ke rahnuma lag jaenge desh ko khane
phir shurua hoga aam aadmi ki taqdir se khel
phir bheja jaega kuchh haare huon ko jail
phir se nayay ka Dhong rachaya jaega
aadmi ko roTi ke wade se bahlaya jaega
phir se hoga luT-khasuT ka nanga nach
phir jhuTh ko bataya jaega sanch
mujhe jalaegi mere andar ki aanch
aur TuTte sapne chubhenge ban ke kanch
phir se zindagi bunne lagegi makaD-jala
main jaanta hun ki kuchh nahin badalne wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.