kuchh nahin ke do pahlu
jinheñ ishq se vāsta kuchh nahīñ
unheñ husn se kyā milā kuchh nahīñ
jahāñ zohd-e-ḳhushk aa gayā us jagah
mohabbat muravvat vafā kuchh nahīñ
ḳhudā jaane kis dil se kahte haiñ log
hasīñ aur un kī adā kuchh nahīñ
nahīñ haiñ jo tanvīr-e-dil māh-vash
shab-e-māh meñ bhī maza kuchh nahīñ
sharar haiñ ye hañsmukh sitāre agar
to har ḳhanda-e-ḳhush-numā kuchh nahīñ
nazar ke haiñ dhoke manāzir agar
to phir ye chaman ye fazā kuchh nahīñ
hakīmoñ pe hairat na ho kyoñ mujhe
baḌhā ilm to kah diyā kuchh nahīñ
na saaqī na sāġhar na shāhid na baaġh
ma.aal in kī tahqīq kā kuchh nahīñ
vajūd un kā merī nazar meñ bhī kyā
adam hai adam ke sivā kuchh nahīñ
kahūñ kaise hastī ke gulzār meñ
fanā hī fanā hai baqā kuchh nahīñ
maiñ ḳhush husn se huuñ sivā husn ke
mirī ziist kā mudda.ā kuchh nahīñ
agar merī nazroñ se dekhe koī
baqā hī baqā hai fanā kuchh nahīñ
ye māmūra-e-husn hai to yahāñ
ḳhushī hai ḳhushī ke sivā kuchh nahīñ
nigāh-e-haqīqat ras-e-husn se
ta.alluq ġham-o-rañj kā kuchh nahīñ
maze ahl-e-dil ke liye haiñ bahut
kahā maiñ ne kab yaañ maza kuchh nahīñ
ye saaqī ye sāġhar ye shāhid ye baaġh
halāvat hai dil meñ to kyā kuchh nahīñ
jinhen ishq se wasta kuchh nahin
unhen husn se kya mila kuchh nahin
jahan zohd-e-KHushk aa gaya us jagah
mohabbat murawwat wafa kuchh nahin
KHuda jaane kis dil se kahte hain log
hasin aur un ki ada kuchh nahin
nahin hain jo tanwir-e-dil mah-wash
shab-e-mah mein bhi maza kuchh nahin
sharar hain ye hansmukh sitare agar
to har KHanda-e-KHush-numa kuchh nahin
nazar ke hain dhoke manazir agar
to phir ye chaman ye faza kuchh nahin
hakimon pe hairat na ho kyon mujhe
baDha ilm to kah diya kuchh nahin
na saqi na saghar na shahid na bagh
maal in ki tahqiq ka kuchh nahin
wajud un ka meri nazar mein bhi kya
adam hai adam ke siwa kuchh nahin
kahun kaise hasti ke gulzar mein
fana hi fana hai baqa kuchh nahin
main KHush husn se hun siwa husn ke
meri zist ka muddaa kuchh nahin
agar meri nazron se dekhe koi
baqa hi baqa hai fana kuchh nahin
ye mamura-e-husn hai to yahan
KHushi hai KHushi ke siwa kuchh nahin
nigah-e-haqiqat ras-e-husn se
talluq gham-o-ranj ka kuchh nahin
maze ahl-e-dil ke liye hain bahut
kaha main ne kab yan maza kuchh nahin
ye saqi ye saghar ye shahid ye bagh
halawat hai dil mein to kya kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.