kuchh rishte jalane paDe
chāñd bhī kambal oḌhe niklā thā
sitāre ThiThur raheñ the
sardī baḌh rahī thī
ThanD se bachne ke liye
mujhe bhī kuchh rishte jalāne paḌe
kuchh rishte
jo bas naam ke bache the
khīñch rahā thā
maiñ un ko
kabhī vo mujhe khīñchā karte the
sardī baḌh rahī thī
ThanD se bachne ke liye
mujhe bhī kuchh rishte jalāne paḌe
kuchh rishte
bahut kamzor ho chale the
un kī lapaT bhī bahut kam thī
kuchh itne patle
kī jalne se pahle raakh ho ga.e
sardī baḌh rahī thī
ThanD se bachne ke liye
mujhe bhī kuchh rishte jalāne paḌe
kuchh purāne rishte the
mere janam ke pahle ke
sajoyā thā unheñ maiñ ne
unheñ nahīñ thā koī lagāv mujh se
sardī baḌh rahī thī
ThanD se bachne ke liye
mujhe bhī kuchh rishte jalāne paḌe
chand bhi kambal oDhe nikla tha
sitare ThiThur rahen the
sardi baDh rahi thi
ThanD se bachne ke liye
mujhe bhi kuchh rishte jalane paDe
kuchh rishte
jo bas nam ke bache the
khinch raha tha
main un ko
kabhi wo mujhe khincha karte the
sardi baDh rahi thi
ThanD se bachne ke liye
mujhe bhi kuchh rishte jalane paDe
kuchh rishte
bahut kamzor ho chale the
un ki lapaT bhi bahut kam thi
kuchh itne patle
ki jalne se pahle rakh ho gae
sardi baDh rahi thi
ThanD se bachne ke liye
mujhe bhi kuchh rishte jalane paDe
kuchh purane rishte the
mere janam ke pahle ke
sajoya tha unhen main ne
unhen nahin tha koi lagaw mujh se
sardi baDh rahi thi
ThanD se bachne ke liye
mujhe bhi kuchh rishte jalane paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.