kuchh yun
mere aur us ke darmiyāñ
rakhe hue gul-daste meñ
gulāboñ kā rañg
gahrā hotā jā rahā thā
maiñ soch meñ gum thā
ki daf.atan havā ke jhoñke ne
chauñkā diyā mujh ko
maiñ ne dekhā
ki mere sāmne baiThā huā
husn kā paikar apnī narm garm sāñsoñ se
un ko sīñch rahā thā
mere aur us ke darmiyan
rakhe hue gul-daste mein
gulabon ka rang
gahra hota ja raha tha
main soch mein gum tha
ki dafatan hawa ke jhonke ne
chaunka diya mujh ko
main ne dekha
ki mere samne baiTha hua
husn ka paikar apni narm garm sanson se
un ko sinch raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.