kulhaDi
lakaḌhārā kulhāḌī pheñk kar dariyā meñ
baiThā hai kināre
umīd-o-ārzū ke bahr-e-be-pāyāñ meñ ġhaltāñ hai
taḳhayyul meñ hasīñ ḳhvāboñ kī duniyā hai
nigāheñ shāhid-e-mastūr kī joyā
ki shāyad
ba-husn-e-āriz-o-qad
nigāh-e-nargis-e-mast
jal-parī koī nikal aa.e
aur us ke haath meñ
chāñdī kī kashtī ho
aur us kashtī meñ sunahrī kulhāḌī
lakaDhaara kulhaDi phenk kar dariya mein
baiTha hai kinare
umid-o-arzu ke bahr-e-be-payan mein ghaltan hai
taKHayyul mein hasin KHwabon ki duniya hai
nigahen shahid-e-mastur ki joya
ki shayad
ba-husn-e-ariz-o-qad
nigah-e-nargis-e-mast
jal-pari koi nikal aae
aur us ke hath mein
chandi ki kashti ho
aur us kashti mein sunahri kulhaDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.