kulhaDi nai daraKHt se dasta hasil kiya
kulhāḌī ne daraḳht se dasta hāsil kiyā
aur quvvat pā lī
aur phir
usī daste kī madad se daraḳht par hamla kar diyā
daraḳht ne amarbel ko zindagī dī
numū baḳhshī
aur amar bail ne
daraḳht ko kyā diyā
istehsāl
cigarette apne vajūd ko dhueñ meñ tabdīl kar rahā hai
aur maiñ rishtoñ ke ta.alluq se soch rahā huuñ
kulhaDi ne daraKHt se dasta hasil kiya
aur quwwat pa li
aur phir
usi daste ki madad se daraKHt par hamla kar diya
daraKHt ne amarbel ko zindagi di
numu baKHshi
aur amar bail ne
daraKHt ko kya diya
istehsal
cigarette apne wajud ko dhuen mein tabdil kar raha hai
aur main rishton ke talluq se soch raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.