kulliyat-e-gham-e-jahan
ham samajhte the shā'irī karnā
koī āsān sā 'amal hogā
raat din husn chāñd sūraj tum
har koī shāmil-e-ġhazal hogā
zindagī maut 'ishq dil duniyā
aur bhī hoñge nazm ke 'unvāñ
lafz jazbe ḳhayāl ke paikar
kuchh ġham-e-yār kuchh ġham-e-daurāñ
aur phir ek roz yuuñ hogā
ham bhī do chaar jaam gaTkeñge
be-sabab be-ḳhudī kī hālat meñ
raat bhar shahr bhar meñ bhaTkeñge
phir to har roz sāġhar-o-mīnā
ham nazar ā.eñge sharābī se
shā'iroñ ko sharāb jurm nahīñ
kyoñ ki ġhālib sharāb piite the
lekin ik roz kyā sunā maiñ ne
shahr bhopal zor se chīḳhā
chāroñ jānib galī saḌī lāsheñ
har taraf raqs thā tabāhī kā
zahr sā ghul gayā havāoñ meñ
saañs aatī thī maut kī sūrat
log rote the aur bhāgte the
maut ke ḳhauf se kisī sūrat
log nāloñ meñ kuud jaate the
jism jā-e-panāh DhūñDte the
ek dariyā-e-ḳhūn jaarī thā
jism ke zaḳhm raah DhūñDte the
sochtā huuñ yatīm bachchoñ ko
kis ne shafqat kī chhāoñ dī hogī
dard-o-ġham se bilaktī maaoñ ko
kis ne talqīn-e-sabr kī hogī
yuuñ nahīñ hai kalām-e-ġhālib meñ
kuchh nahīñ thā shu’ūr-e-fan ke liye
yuuñ nahīñ hai ki 'mīr' kī ġhazleñ
vāhima thiiñ mire suḳhan ke liye
'momin'-o-'dāġh' 'ātish'-o-'nāsiḳh'
yā 'anīs'-o-'dabīr' 'zauq'-o-'nasīm'
sab davāvīn haiñ mutāle meñ
saare shā'ir ki sab jadīd-o-qadīm
jab talak kuchh mushāhidāt na hoñ
shā'irī meñ maza nahīñ aatā
dard kī raah se chale aao
to ḳhayāloñ meñ kyā nahīñ aatā
ye mirā daur ye mirī duniyā
har koī apne aap meñ gum hai
'ishq rangīniyoñ meñ Duubā hai
aur lab-e-husn par tabassum hai
ab ḳhulāsa tamām chīzoñ kā
aḳhz kiije kitāb-e-jāñ paḌh kar
kuchh hameñ bhī shu'ūr aayā hai
kulliyāt-e-ġham-e-jahāñ paḌh kar
hum samajhte the sha'iri karna
koi aasan sa 'amal hoga
raat din husn chand suraj tum
har koi shamil-e-ghazal hoga
zindagi maut 'ishq dil duniya
aur bhi honge nazm ke 'unwan
lafz jazbe KHayal ke paikar
kuchh gham-e-yar kuchh gham-e-dauran
aur phir ek roz yun hoga
hum bhi do chaar jam gaTkenge
be-sabab be-KHudi ki haalat mein
raat bhar shahr bhar mein bhaTkenge
phir to har roz saghar-o-mina
hum nazar aaenge sharabi se
sha'iron ko sharab jurm nahin
kyon ki ghaalib sharab pite the
lekin ek roz kya suna main ne
shahr bhopal zor se chiKHa
chaaron jaanib gali saDi lashen
har taraf raqs tha tabahi ka
zahr sa ghul gaya hawaon mein
sans aati thi maut ki surat
log rote the aur bhagte the
maut ke KHauf se kisi surat
log nalon mein kud jate the
jism ja-e-panah DhunDte the
ek dariya-e-KHun jari tha
jism ke zaKHm rah DhunDte the
sochta hun yatim bachchon ko
kis ne shafqat ki chhaon di hogi
dard-o-gham se bilakti maon ko
kis ne talqin-e-sabr ki hogi
yun nahin hai kalam-e-ghaalib mein
kuchh nahin tha shu’ur-e-fan ke liye
yun nahin hai ki 'mir' ki ghazlen
wahima thin mere suKHan ke liye
'momin'-o-'dagh' 'atish'-o-'nasiKH'
ya 'anis'-o-'dabir' 'zauq'-o-'nasim'
sab dawawin hain mutale mein
sare sha'ir ki sab jadid-o-qadim
jab talak kuchh mushahidat na hon
sha'iri mein maza nahin aata
dard ki rah se chale aao
to KHayalon mein kya nahin aata
ye mera daur ye meri duniya
har koi apne aap mein gum hai
'ishq ranginiyon mein Duba hai
aur lab-e-husn par tabassum hai
ab KHulasa tamam chizon ka
aKHz kije kitab-e-jaan paDh kar
kuchh hamein bhi shu'ur aaya hai
kulliyat-e-gham-e-jahan paDh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.