kullu man alaiha fan
zamāna az-sar-e-nau ye gavāhī de rahā hai
azal se tā-abad sab kuchh fanā hai
magar ik ḳhvāhish-e-be-sūd har insān ke andar panaptī hai
ye har insān kī fitrat meñ shāmil hai
jo har pal ye samajhtā hai
ki miTTī kūza-gar ke nuur meñ gūñdhī ga.ī hai
ye fitrat be-mahābā hai
jo kūza-gar ke hāthoñ se
har ik insān meñ shāmil huī hai
har ik insān bas ik vāhime meñ hai
ki vo bhī lā-fanā hai
zamīñ par phūlte insān ko apnī paḌī hai
yahāñ har ik nafas shorīda-ḳhātir phir rahā hai
yahāñ har ek apnī ḳhvāhishoñ kī qaid meñ uljhā huā
bas ye samajhtā hai
ki har tār-e-nafas par āyat-e-ramz-e-baqā hai
zamīñ kī kokh meñ so.e huoñ se pūchhtā koī nahīñ
ki us taraf duniyā meñ kyā mahshar bapā hai
darīda-pairahan phirtā huā insān
apnī āḳhirī ḳhvāhish pe chaukīdār nāfiz kar rahā hai
ab is ko kaun samjhā.e
ḳhalā ke us taraf kuchh bhī nahīñ pinhāñ
ye duniyā ḳhvāhishoñ kī qaid meñ
uljhe hue insāñ kā piñjra hai
jo apnī ḳhvāhishoñ kī taal par
kuchh yuuñ thiraktā hai samajhtā hai ki
sab kuchh mil gayā shāyad
magar ye sab ḳhalal hai vāhima hai
ye dimāġhī atomoñ kī kokh meñ pinhāñ ḳhalā hai
jo kabhī bhartā nahīñ hai
zamana az-sar-e-nau ye gawahi de raha hai
azal se ta-abad sab kuchh fana hai
magar ek KHwahish-e-be-sud har insan ke andar panapti hai
ye har insan ki fitrat mein shamil hai
jo har pal ye samajhta hai
ki miTTi kuza-gar ke nur mein gundhi gai hai
ye fitrat be-mahaba hai
jo kuza-gar ke hathon se
har ek insan mein shamil hui hai
har ek insan bas ek wahime mein hai
ki wo bhi la-fana hai
zamin par phulte insan ko apni paDi hai
yahan har ek nafas shorida-KHatir phir raha hai
yahan har ek apni KHwahishon ki qaid mein uljha hua
bas ye samajhta hai
ki har tar-e-nafas par aayat-e-ramz-e-baqa hai
zamin ki kokh mein soe huon se puchhta koi nahin
ki us taraf duniya mein kya mahshar bapa hai
darida-pairahan phirta hua insan
apni aaKHiri KHwahish pe chaukidar nafiz kar raha hai
ab is ko kaun samjhae
KHala ke us taraf kuchh bhi nahin pinhan
ye duniya KHwahishon ki qaid mein
uljhe hue insan ka pinjra hai
jo apni KHwahishon ki tal par
kuchh yun thirakta hai samajhta hai ki
sab kuchh mil gaya shayad
magar ye sab KHalal hai wahima hai
ye dimaghi atomon ki kokh mein pinhan KHala hai
jo kabhi bharta nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.