kun-fa-yakun
ik azal thā kabhī
kuchh na thā jab kahīñ
koī hastī na thī
koī jalva na thā
vaqt kā bhī tasavvur na thā
ek zarra thā bas
intihā kī hadoñ se pare
ek zarra thā lā-intihā
be-taraf
be-dishā
be-karāñ
ek zarra thā sirf
ek zarra thā lā-intihā
aur phir ik dhamāka huā
intihā kī hadoñ se pare
ek dhamāka huā
vo jo zarra thā ik be-karāñ
be-taraf be-dishā
muntashir ho gayā
jis se saarī ḳhalā.eñ banīñ
kahkashā.eñ banīñ
chāñd sūraj bane
aur dishā.eñ banīñ
vaqt paidā huā
lamhe uḌne lage
sadiyāñ harakat meñ aane lagīñ
har taraf har dishā
zindagī jagmagāne lagī
aur ḳhudā ne kahā
aaj qudrat kā merī zuhūr ho gayā
ek azal tha kabhi
kuchh na tha jab kahin
koi hasti na thi
koi jalwa na tha
waqt ka bhi tasawwur na tha
ek zarra tha bas
intiha ki hadon se pare
ek zarra tha la-intiha
be-taraf
be-disha
be-karan
ek zarra tha sirf
ek zarra tha la-intiha
aur phir ek dhamaka hua
intiha ki hadon se pare
ek dhamaka hua
wo jo zarra tha ek be-karan
be-taraf be-disha
muntashir ho gaya
jis se sari KHalaen banin
kahkashaen banin
chand suraj bane
aur dishaen banin
waqt paida hua
lamhe uDne lage
sadiyan harakat mein aane lagin
har taraf har disha
zindagi jagmagane lagi
aur KHuda ne kaha
aaj qudrat ka meri zuhur ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.