kundan
kundan saaTh baras kā būḌhā chhoTe qadam uThātā hai
sub.h savere dhīre dhīre pul par baiThne aatā hai
daa.eñ baa.eñ us kī nigāheñ dauḌtī haiñ kuchh DhūñDhtī haiñ
tiis baras pahle kā zamāna āñkhoñ meñ phir jaatā hai
biite dinoñ kā tasavvur dil ke dukh ko aur baḌhātā hai
duniyā ik din us kī thī ye duniyā āḳhir kis kī huī
kundan chalte chalte baiThe baiThe bhī thak jaatā hai
jaise use qurb-e-manzil se Dar lagtā ho ḳhauf aatā hai
kundan dhīre chaltā hai aur tezī se ghabrātā hai
bachchoñ kī chustī chālākī par aksar jhuñjhlātā hai
''ek musībat ek qayāmat na.e zamāne kī aulād
agle vaqt kī azmat aur sharāfat kar Daalī barbād''
aksar agle vaqt kī bāteñ hañs hañs ke dohrātā hai
us kī kamar kā ḳham aksar is mauqe par tan jaatā hai
jab koī schōl ko jaatī phuul sī sho.ala-gūñ laḌkī
dekhtā hai bol uThtā hai ye kaisā zamāna aayā hai
rañg-rūp ke bechne vaalī kā sā svāñg rachāyā hai
achchhā ishvar terī marzī!! ye bhī musībat sahnā thī
shukr hai agle vaqtoñ kī beTī ke aise Dhañg na the
laaj hī us kā jauban thī aur laaj hī us kā gahnā thī
lekin doshīza ke sarāpā meñ kundan kho jaatā hai
kundan sub.h-savere nahr ke pul par baiThne aatā hai
aksar agle vaqt kī bāteñ hañs hañs ke dohrātā hai
us kī kamar kā ḳham aksar is mauqe par tan jaatā hai
kitnī ḳhush-uslūbī se apnī ḳhiffat ko chhupātā hai
kundan saTh baras ka buDha chhoTe qadam uThata hai
subh sawere dhire dhire pul par baiThne aata hai
daen baen us ki nigahen dauDti hain kuchh DhunDhti hain
tis baras pahle ka zamana aankhon mein phir jata hai
bite dinon ka tasawwur dil ke dukh ko aur baDhata hai
duniya ek din us ki thi ye duniya aaKHir kis ki hui
kundan chalte chalte baiThe baiThe bhi thak jata hai
jaise use qurb-e-manzil se Dar lagta ho KHauf aata hai
kundan dhire chalta hai aur tezi se ghabraata hai
bachchon ki chusti chaalaki par aksar jhunjhlata hai
ek musibat ek qayamat nae zamane ki aulad
agle waqt ki azmat aur sharafat kar Dali barbaad
aksar agle waqt ki baaten hans hans ke dohraata hai
us ki kamar ka KHam aksar is mauqe par tan jata hai
jab koi school ko jati phul si shoala-gun laDki
dekhta hai bol uThta hai ye kaisa zamana aaya hai
rang-rup ke bechne wali ka sa swang rachaya hai
achchha ishwar teri marzi!! ye bhi musibat sahna thi
shukr hai agle waqton ki beTi ke aise Dhang na the
laj hi us ka jauban thi aur laj hi us ka gahna thi
lekin doshiza ke sarapa mein kundan kho jata hai
kundan subh-sawere nahr ke pul par baiThne aata hai
aksar agle waqt ki baaten hans hans ke dohraata hai
us ki kamar ka KHam aksar is mauqe par tan jata hai
kitni KHush-uslubi se apni KHiffat ko chhupata hai
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 324)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.