kursi
siyāsiyāt meñ ūñchā hai naam kursī kā
kiyā hai maiñ ne bahut ehtirām kursī kā
ghasīTā apnī taraf intizām kursī kā
ye merā kaam thā baaqī hai kaam kursī kā
ye gol mez se kahtī hai ab ki to kyā hai
chair ke sāmne sofe kī aabrū kyā hai
koī clerk koī manager kī kursī hai
jahāñ hai nurse vahīñ doctor kī kursī hai
jo ek Taañg kī TuuTī kamar kī kursī hai
vo mere shahr ke ik counselor kī kursī hai
briādrī kī badaulat amiin haiñ mausūf
pachās saal se kursī-nashīn haiñ mausūf
chair pe baiTh ke saare hī shaan vaale haiñ
jo par kaTe the vo ūñchī uḌaan vaale haiñ
jo be-makān the das das makān vaale haiñ
vo sirf paan nahīñ pandān vaale haiñ
ajiib rasm chalī hai ki is zamāne meñ
avaam dhuup meñ kursī hai shāmiyāne meñ
mushā.ere meñ bhī aksar uchhal ga.ī kursī
ġhazal ke chalne se pahle hī chal ga.ī kursī
har ek mez se aage nikal ga.ī kursī
badal ga.e rufaqā jab badal ga.ī kursī
harām maal se jaa.ez kamā.ī behtar hai
na.ī chair se purānī tipā.ī behtar hai
usī kā zikr basoñ meñ bhī baat baat pe hai
tamām rail meñ jhagḌā isī kī zaat pe hai
yahī savār arākīn-e-baldiyāt pe hai
isī kā hukm qalam par kabhī davāt pe hai
mushā.ere meñ bhī jhagḌā isī ibārat kā
kabhī maqām kabhī kursī-e-sadārat kā
banī thī kursī jo ik head-master ke liye
janāb-e-head use le ga.e haiñ ghar ke liye
banā diyā jinheñ kursī ne umr bhar ke liye
chair hai un ke liye vo nahīñ chair ke liye
amānatan jo chair par biThā.e jaate haiñ
vo log ḳhuud nahīñ uThte uThā.e jaate haiñ
kuchh is adā se ye dilkash sifāt chaltī hai
kisī ra.iis kī goyā barāt chaltī hai
jahāñ bhī jaao yahī saath saath chaltī hai
chipak ke jaise sharīk-e-hayāt chaltī hai
ye zā.iqa bhī ajab hai ki chakh nahīñ sakte
ham is kī god meñ tashrīf rakh nahīñ sakte
siyasiyat mein uncha hai nam kursi ka
kiya hai main ne bahut ehtiram kursi ka
ghasiTa apni taraf intizam kursi ka
ye mera kaam tha baqi hai kaam kursi ka
ye gol mez se kahti hai ab ki to kya hai
chair ke samne sofe ki aabru kya hai
koi clerk koi manager ki kursi hai
jahan hai nurse wahin doctor ki kursi hai
jo ek Tang ki TuTi kamar ki kursi hai
wo mere shahr ke ek counselor ki kursi hai
briadri ki badaulat amin hain mausuf
pachas sal se kursi-nashin hain mausuf
chair pe baiTh ke sare hi shan wale hain
jo par kaTe the wo unchi uDan wale hain
jo be-makan the das das makan wale hain
wo sirf pan nahin pandan wale hain
ajib rasm chali hai ki is zamane mein
awam dhup mein kursi hai shamiyane mein
mushaere mein bhi aksar uchhal gai kursi
ghazal ke chalne se pahle hi chal gai kursi
har ek mez se aage nikal gai kursi
badal gae rufaqa jab badal gai kursi
haram mal se jaez kamai behtar hai
nai chair se purani tipai behtar hai
usi ka zikr bason mein bhi baat baat pe hai
tamam rail mein jhagDa isi ki zat pe hai
yahi sawar arakin-e-baldiyat pe hai
isi ka hukm qalam par kabhi dawat pe hai
mushaere mein bhi jhagDa isi ibarat ka
kabhi maqam kabhi kursi-e-sadarat ka
bani thi kursi jo ek head-master ke liye
janab-e-head use le gae hain ghar ke liye
bana diya jinhen kursi ne umr bhar ke liye
chair hai un ke liye wo nahin chair ke liye
amanatan jo chair par biThae jate hain
wo log KHud nahin uThte uThae jate hain
kuchh is ada se ye dilkash sifat chalti hai
kisi rais ki goya baraat chalti hai
jahan bhi jao yahi sath sath chalti hai
chipak ke jaise sharik-e-hayat chalti hai
ye zaiqa bhi ajab hai ki chakh nahin sakte
hum is ki god mein tashrif rakh nahin sakte
- Book : No Problem (Pg. 61)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.