kushtagan-e-KHanjar-e-taslim-ra
sakīna!
jab kahānī ḳhatm hogī
ḳhaak kī tāsīr badlegī
zamīñ sho.ala-ba-sho.ala
khīñch lī jā.egī un tārīk konoñ meñ
jinheñ raushan zamāne
satr-e-mustahkam ke andar fāsloñ meñ rakh ga.e the
sakīna!
jab badan farsh-e-sitam par
do qadam chalne lagegā
asr-e-be-hañgām se jīvan
na.ī duniyāoñ ke raste nikālegā
myān-e-āb-o-gil
kis ko ḳhabar
kyā kyā nikal aa.e
hamāre dekhte an-dekhte
kyā kyā badal jaa.e
hamāre saath gird-o-pesh
jitnī sūrateñ haiñ
sab fanā ke raqs meñ haiñ
aur ye raqs-e-fanā
apnā irāda to nahīñ hai
bayābānoñ kī paimā.ish
mire chāk-e-garebāñ se
ziyāda to nahīñ hai!
sakina!
jab kahani KHatm hogi
KHak ki tasir badlegi
zamin shoala-ba-shoala
khinch li jaegi un tarik konon mein
jinhen raushan zamane
satr-e-mustahkam ke andar faslon mein rakh gae the
sakina!
jab badan farsh-e-sitam par
do qadam chalne lagega
asr-e-be-hangam se jiwan
nai duniyaon ke raste nikalega
myan-e-ab-o-gil
kis ko KHabar
kya kya nikal aae
hamare dekhte an-dekhte
kya kya badal jae
hamare sath gird-o-pesh
jitni suraten hain
sab fana ke raqs mein hain
aur ye raqs-e-fana
apna irada to nahin hai
bayabanon ki paimaish
mere chaak-e-gareban se
ziyaada to nahin hai!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 100)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.