kutta bhaunkta hai
purāne shahar kī vīrāñ galī meñ
jab bhī aadhī raat hotī hai
to kuttā bhauñktā hai
kuttā bhauñktā hai
ek saayā sā ubhartā hai
mire kamre ke vīrāñ taaq par rakkhe
diye kī lau laraztī hai
saḌak ke ik sire se ajnabī sī chaap ubhartī hai
udāsī ghar ke darvāze par aa kar
bain kartī hai
aur kuttā bhauñktā hai
kuttā bhauñktā hai
nīm-shab ko dushmanoñ kī fauj kī yalġhār se
shahzādiyāñ sab
sar barahna bhāgtī haiñ
aur raaja qatl hotā hai
fasīl-e-shahr pe sar kaaT kar laTkā.e jaate haiñ
nayā farmān jaarī hotā hai
aur itā.at ke liye sab log jhukte haiñ
zamīñ par
āsmāñ se ik sitāra TuuT girtā hai
havā fariyād kartī hai
daraḳhtoñ meñ ajab sargoshiyāñ sī hone lagtī haiñ
mire kamre ke vīrāñ taaq par rakkhe
diye kī lau laraztī hai
aur azhdahā nikal kar fāḳhta kī narm gardan se
lipaTtā hai
rivāyat hai hamāre shahr kī
jab bhī musībat aatī hai
to nīm-shab ko azāneñ gūñjtī haiñ
log jāneñ shahr pe koī qayāmat aa.ī hai
is shab
ġhanīm-e-shahar ke aage
itā.at ke liye sab log jhukte haiñ
azaañ koī nahīñ detā
purāne shahr kī vīrāñ galī meñ
ek kuttā bhauñktā hai
purane shahar ki viran gali mein
jab bhi aadhi raat hoti hai
to kutta bhaunkta hai
kutta bhaunkta hai
ek saya sa ubharta hai
mere kamre ke viran taq par rakkhe
diye ki lau larazti hai
saDak ke ek sire se ajnabi si chap ubharti hai
udasi ghar ke darwaze par aa kar
bain karti hai
aur kutta bhaunkta hai
kutta bhaunkta hai
nim-shab ko dushmanon ki fauj ki yalghaar se
shahzadiyan sab
sar barahna bhagti hain
aur raja qatl hota hai
fasil-e-shahr pe sar kaT kar laTkae jate hain
naya farman jari hota hai
aur itaat ke liye sab log jhukte hain
zamin par
aasman se ek sitara TuT girta hai
hawa fariyaad karti hai
daraKHton mein ajab sargoshiyan si hone lagti hain
mere kamre ke viran taq par rakkhe
diye ki lau larazti hai
aur azhdaha nikal kar faKHta ki narm gardan se
lipaTta hai
riwayat hai hamare shahr ki
jab bhi musibat aati hai
to nim-shab ko azanen gunjti hain
log jaanen shahr pe koi qayamat aai hai
is shab
ghanim-e-shahar ke aage
itaat ke liye sab log jhukte hain
azan koi nahin deta
purane shahr ki viran gali mein
ek kutta bhaunkta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.