kuDe-dan
khule niile ākāsh kī katran
pairāhan-e-ḳhvāb kī dhajjiyāñ
shīsha-e-dil dil kī kirchiyāñ
reshmī jismoñ kī utran
dāstān-e-ishq ke pareshāñ aurāq
visāl-e-yār ke kaTe-phaTe aur baasī aḳhbār
rusvā.ī kī dīvāroñ ke gande ishtihār
mailā kuchailā dard
phaTā purānā firāq
husn-o-ra.anā.ī ke shikasta jaam
bhūle-bisre naam
gahrī kaalī āñkhoñ ke bujhe charāġh
dāman-e-yād ke bad-numā daaġh
saarī chīzeñ behis duniyā ne
mujh ko kūḌe-dān samajh kar
mere andar
Daal dī haiñ
khule nile aakash ki katran
pairahan-e-KHwab ki dhajjiyan
shisha-e-dil dil ki kirchiyan
reshmi jismon ki utran
dastan-e-ishq ke pareshan auraq
visal-e-yar ke kaTe-phaTe aur basi aKHbar
ruswai ki diwaron ke gande ishtihaar
maila kuchaila dard
phaTa purana firaq
husn-o-ranai ke shikasta jam
bhule-bisre nam
gahri kali aankhon ke bujhe charagh
daman-e-yaad ke bad-numa dagh
sari chizen behis duniya ne
mujh ko kuDe-dan samajh kar
mere andar
Dal di hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.