kuza-gar ki maut
ik muddat se ik kūza-gar
ghūmte chaak par
ḳhvāhishoñ ārzūoñ kī ik
mūrtī sī banātā rahā
us kā fan
us kī shohrat kā bā'is banā
us ko 'izzat milī aur daulat milī
chain se ho rahī thī basar zindagī
phir achānak 'ajab sī ik āvāz dil meñ uThī
aur iThlā ke bolī
suno ai kūza-gar
ḳhūb-sūrat bahut haiñ tumhāre sanam
par ye qāmat meñ tum se haiñ kamtar bahut
apne fan kī anā ke takabbur ko oḌhe hue
kūza-gar ne ye ḳhud se kahā
ek aisī bhī mūrat kī taḳhlīq ho
jo ujāgar kare qadr-o-qīmat mirī
jis kā qad aur ākār mere barābar kā ho
tab gaḌhī us ne mūrat pe mūrat na.ī
un kā ākār baḌhtā gayā
phir yahāñ tak baḌhā
us kī sab mūrateñ
us ke qad se baḌī ho ga.iiñ
chaak chhoTā thā aur haath bhī us ke apne purāne hī the
phir huā ye ki vo āḳhirī mūrtī
ek tuude se yuuñ TuuT kar gir paḌī
chaak aur kūza-gar
Dher meñ dab ga.e
ek muddat se ek kuza-gar
ghumte chaak par
KHwahishon aarzuon ki ek
murti si banata raha
us ka fan
us ki shohrat ka ba'is bana
us ko 'izzat mili aur daulat mili
chain se ho rahi thi basar zindagi
phir achanak 'ajab si ek aawaz dil mein uThi
aur iThla ke boli
suno ai kuza-gar
KHub-surat bahut hain tumhaare sanam
par ye qamat mein tum se hain kamtar bahut
apne fan ki ana ke takabbur ko oDhe hue
kuza-gar ne ye KHud se kaha
ek aisi bhi murat ki taKHliq ho
jo ujagar kare qadr-o-qimat meri
jis ka qad aur aakar mere barabar ka ho
tab gaDhi us ne murat pe murat nai
un ka aakar baDhta gaya
phir yahan tak baDha
us ki sab muraten
us ke qad se baDi ho gain
chaak chhoTa tha aur hath bhi us ke apne purane hi the
phir hua ye ki wo aaKHiri murti
ek tude se yun TuT kar gir paDi
chaak aur kuza-gar
Dher mein dab gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.