kya faeda
sang-bāzo
agar
haar yā jiit hī kī tamannā liye
ghar se nikle ho to
sang-bārī kī is meñ zarūrat nahīñ
ḳhūn-ḳharāba kī bhī koī hājat nahīñ
aao ki
is hī chaurāhe par
pheñk kar pattharoñ ko kareñ toss se faisla
sang-bāzī se kyā fā.eda
sang-bazo
agar
haar ya jit hi ki tamanna liye
ghar se nikle ho to
sang-bari ki is mein zarurat nahin
KHun-KHaraba ki bhi koi hajat nahin
aao ki
is hi chaurahe par
phenk kar pattharon ko karen toss se faisla
sang-bazi se kya faeda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.