kya hai
gehūñ kyā shai hai bājrā kyā hai
aur chāval hai kyā chanā kyā hai
uf ye basta mire ḳhudā kyā hai
mirī taqdīr meñ likhā kyā hai
ye schōl aur madrasa kyā hai
in ke khulne kā mudda.ā kyā hai
aaj tak ye samajh meñ aa na sakā
likhne paḌhne se fā.eda kyā hai
ye kitābeñ ye copiyāñ ye qalam
in meñ kuchh to kaho dharā kyā hai
bas kitāboñ bharā baḌā basta
aur maañ baap ne diyā kyā hai
master mujh ko mārte kyoñ haiñ
maiñ ne un ko bhalā kahā kyā hai
aadmī se banā diyā murġhā
aur is se baḌī sazā kyā hai
der chhuTTī meñ kyā hai dekhūñ to
ab ghaḌī meñ mirī bajā kyā hai
ham ko ammī ye pahle batlā do
chaa.e ke saath nāshta kyā hai
jis ne khaa.e na hoñ vo kyā jaane
ras bharī kyā hai ġhalġhala kyā hai
sau gadhoñ par shakīl hai bhārī
sāmne us ke ik gadhā kyā hai
sar muñDā kar vo aa rahā hai tufail
baḌh ke de Tiip dekhtā kyā hai
baat 'yaktā' kī maan apne liye
soch achchhā hai kyā burā kyā hai
gehun kya shai hai bajra kya hai
aur chawal hai kya chana kya hai
uf ye basta mere KHuda kya hai
meri taqdir mein likha kya hai
ye school aur madrasa kya hai
in ke khulne ka muddaa kya hai
aaj tak ye samajh mein aa na saka
likhne paDhne se faeda kya hai
ye kitaben ye copiyan ye qalam
in mein kuchh to kaho dhara kya hai
bas kitabon bhara baDa basta
aur man bap ne diya kya hai
master mujh ko marte kyon hain
main ne un ko bhala kaha kya hai
aadmi se bana diya murgha
aur is se baDi saza kya hai
der chhuTTi mein kya hai dekhun to
ab ghaDi mein meri baja kya hai
hum ko ammi ye pahle batla do
chae ke sath nashta kya hai
jis ne khae na hon wo kya jaane
ras bhari kya hai ghalghala kya hai
sau gadhon par shakil hai bhaari
samne us ke ek gadha kya hai
sar munDa kar wo aa raha hai tufail
baDh ke de Tip dekhta kya hai
baat 'yakta' ki man apne liye
soch achchha hai kya bura kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.