kya hoga anjam
ek se ek sharārat sūjhe ham ko sub.h-o-shām
to bolo kyā hogā anjām
khel meñ apnī jaan paḌī ho shoḳhī meñ ho naam
to bolo kyā hogā anjām
aapā ke baste meñ ham chupke se miTTī bhar deñ
abbā kī chhatrī ko jo ham toḌ ke char mar kar deñ
aisī bāteñ ham ghar meñ karne lag jaa.eñ aam
to bolo kyā hogā anjām
ham ne dil meñ Thānī ho ki suneñge aaj kahānī
farmā.ish radd kar dī jaa.e aur so jaa.eñ naanī
murġhī kā par kaan meñ de ke sonā kareñ harām
to bolo kyā hogā anjām
geography kā teacher jab āvezāñ kar de naqsha
ham se phir ye pūchhā jaa.e zarā dikhāo shimla
jis par ham uñglī ko rakkheñ likkhā ho āsām
to bolo kyā hogā anjām
ḳharbūzoñ ke khet ke andar ghus jaa.eñ chupke se
rakhvālā bhī taaḌ rahā ho pīchhe se aa pahuñche
aur hamārī gardan apne hāthoñ meñ le thaam
to bolo kyā hogā anjām
ek se ek sharārat sūjhe ham ko sub.h-o-shām
to bolo kyā hogā anjām
khel meñ apnī jaan paḌī ho shoḳhī meñ ho naam
to bolo kyā hogā anjām
ek se ek shararat sujhe hum ko subh-o-sham
to bolo kya hoga anjam
khel mein apni jaan paDi ho shoKHi mein ho nam
to bolo kya hoga anjam
aapa ke baste mein hum chupke se miTTi bhar den
abba ki chhatri ko jo hum toD ke char mar kar den
aisi baaten hum ghar mein karne lag jaen aam
to bolo kya hoga anjam
hum ne dil mein Thani ho ki sunenge aaj kahani
farmaish radd kar di jae aur so jaen nani
murghi ka par kan mein de ke sona karen haram
to bolo kya hoga anjam
geography ka teacher jab aawezan kar de naqsha
hum se phir ye puchha jae zara dikhao shimla
jis par hum ungli ko rakkhen likkha ho aasam
to bolo kya hoga anjam
KHarbuzon ke khet ke andar ghus jaen chupke se
rakhwala bhi taD raha ho pichhe se aa pahunche
aur hamari gardan apne hathon mein le tham
to bolo kya hoga anjam
ek se ek shararat sujhe hum ko subh-o-sham
to bolo kya hoga anjam
khel mein apni jaan paDi ho shoKHi mein ho nam
to bolo kya hoga anjam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.