kya hogi peDon ki zat
kyā hogī peḌoñ kī zaat
kabhī sochā hai aap ne
savāl aTpaTā hai
lekin kyuuñ nahīñ bāñTā
use ham ne zāt-pāt meñ
chalo ek ek kar ke bāñTte haiñ peḌoñ ko
phal vaale peḌ aur phuul vaale peḌ
baḌī baḌī bhujāoñ vaale
chhoTī chhoTī Tahniyoñ vaale peḌ
vo aam kā peḌ
jo havan meñ jaltā haiñ
bābhan hogā
kyūñki us ke pattoñ kī puujā bhī hotī haiñ
phal bhī khub rasīlā mantroñ kī tarah
babūl kā peḌ chhāyā nahīñ detā
us ke kāñTe chubh jaa.e to dard hotā hai
aur ḳhuun nikaltā hai
lekin baḌā mazbūt hotā hai
babūl shāyad Thākur hogā
baniyā to mahuvā hogā
us ke pattoñ se pattal bantī haiñ
rasīle phal aañTe meñ
miij kar gujiyā banāte haiñ
sukhā kar us ke phal dukān par bech dete haiñ
tel bhī miltā hai mahuve kī koiyyā se
lakḌī to us kī baḌe kaam aatī haiñ
kuchh peḌ hai
jo jaldī jaldī baḌhte hai
un kī lakḌī jlāvan bantī haiñ
amaltās merā harījan hogā
bas baḌhtā hai aur kaTtā hai
us ke kaTne par kisī ko dukh nahīñ hotā
savāl merā paḌh kar
sochoge tum
pāgal ho gayā bastī
bahkī bahkī sī bāteñ kartā hai
to kyuuñ nahīñ sochte
insāno ko zāt-pāt meñ bāñTne par
chalo ek ek kar ke
bāñTte haiñ peḌoñ ko
kya hogi peDon ki zat
kabhi socha hai aap ne
sawal aTpaTa hai
lekin kyun nahin banTa
use hum ne zat-pat mein
chalo ek ek kar ke banTte hain peDon ko
phal wale peD aur phul wale peD
baDi baDi bhujaon wale
chhoTi chhoTi Tahniyon wale peD
wo aam ka peD
jo hawan mein jalta hain
babhan hoga
kyunki us ke patton ki puja bhi hoti hain
phal bhi khub rasila mantron ki tarah
babul ka peD chhaya nahin deta
us ke kanTe chubh jae to dard hota hai
aur KHun nikalta hai
lekin baDa mazbut hota hai
babul shayad Thakur hoga
baniya to mahuwa hoga
us ke patton se pattal banti hain
rasile phal aanTe mein
mij kar gujiya banate hain
sukha kar us ke phal dukan par bech dete hain
tel bhi milta hai mahuwe ki koiyya se
lakDi to us ki baDe kaam aati hain
kuchh peD hai
jo jaldi jaldi baDhte hai
un ki lakDi jlawan banti hain
amaltas mera harijan hoga
bas baDhta hai aur kaTta hai
us ke kaTne par kisi ko dukh nahin hota
sawal mera paDh kar
sochoge tum
pagal ho gaya basti
bahki bahki si baaten karta hai
to kyun nahin sochte
insano ko zat-pat mein banTne par
chalo ek ek kar ke
banTte hain peDon ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.