kya kaha akeli kar jati hun
achchhā
chalo chhoḌo tum batāo kab ke nikle kab aa.e
tum to baḌe pakke ho kyā kahā haañ vahī dhun ke
yahī matlab achchhā ma.anī to vaise bhī sab ke apne haiñ
ajī dil kī chhoḌo chhoḌ hī do nā
sub.h ga.e shaam to aatī hī nahīñ raat to tumhārī apne naam kaam kī hai
kaun jaane kise akelā pā kar saath nibhāne jaate ho
haañ yahāñ nahīñ to yahāñ kise zarūrat na tumhārī na raat kī
vo kyā hai ki bas shaam kī aas zarā TuuT jaatī hai
ghaḌī aise jaise āvāzoñ ke dhakkoñ se chaltī ho
lo bhalā tum hī batāo kaun diye jalāne baiThe
aur phir havāoñ se unheñ bachātā phire
tum bhī to nahīñ hote
varna ek hathelī tumhārī hotī to maiñ thaktī na
bas jiye jaatī
chāhe ghaḌī kī Tik-Tik jaisī
yā phir vaisī jaisī tumhārī nazroñ ke sāmne rahne vāliyāñ jiitī haiñ
nahīñ ḳhudārā ye ilzām nahīñ ye ajab girah hai
tum kholo to khul jaa.e
khol kar dekhnā
achchha
chalo chhoDo tum batao kab ke nikle kab aae
tum to baDe pakke ho kya kaha han wahi dhun ke
yahi matlab achchha mani to waise bhi sab ke apne hain
aji dil ki chhoDo chhoD hi do na
subh gae sham to aati hi nahin raat to tumhaari apne nam kaam ki hai
kaun jaane kise akela pa kar sath nibhane jate ho
han yahan nahin to yahan kise zarurat na tumhaari na raat ki
wo kya hai ki bas sham ki aas zara TuT jati hai
ghaDi aise jaise aawazon ke dhakkon se chalti ho
lo bhala tum hi batao kaun diye jalane baiThe
aur phir hawaon se unhen bachata phire
tum bhi to nahin hote
warna ek hatheli tumhaari hoti to main thakti na
bas jiye jati
chahe ghaDi ki Tik-Tik jaisi
ya phir waisi jaisi tumhaari nazron ke samne rahne waliyan jiti hain
nahin KHudara ye ilzam nahin ye ajab girah hai
tum kholo to khul jae
khol kar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.