kya kahen kya likhen
samā.ateñ bain kar rahī haiñ
ki log har-chand bolte haiñ
magar kuchh aise
ki jaise un kī zabān o lab ke vo saare hisse
jo barmalā guftugū kī sachchī adā.egī ke liye banā.e ga.e the
maflūj ho ga.e haiñ
basar-ḳharāshī kī intihā hai
ki saarī bāteñ jo an-kahī haiñ
tamām
chehroñ kī lauh-e-mahfūz par likhī haiñ
koī batāo
ki jab kisī kī zabān chehre kā saath chhoḌe
to aisī hālat ko kyā kaheñ ham?
koī batāo
ki jab bahut se azaab chehre zabān ban jaa.eñ
to zabānoñ ko kyā likkheñ ham?
jo ye zamāna hai misl-e-firdaus
in zamānoñ ko kyā likkheñ ham?
zamām goyā.ī jab zabānoñ ke haath meñ thī
hurūf-e-abjad qarār meñ the
zabān o lab ke hisār meñ the
samaaten bain kar rahi hain
ki log har-chand bolte hain
magar kuchh aise
ki jaise un ki zaban o lab ke wo sare hisse
jo barmala guftugu ki sachchi adaegi ke liye banae gae the
mafluj ho gae hain
basar-KHarashi ki intiha hai
ki sari baaten jo an-kahi hain
tamam
chehron ki lauh-e-mahfuz par likhi hain
koi batao
ki jab kisi ki zaban chehre ka sath chhoDe
to aisi haalat ko kya kahen ham?
koi batao
ki jab bahut se azab chehre zaban ban jaen
to zabanon ko kya likkhen ham?
jo ye zamana hai misl-e-firdaus
in zamanon ko kya likkhen ham?
zamam goyai jab zabanon ke hath mein thi
huruf-e-abjad qarar mein the
zaban o lab ke hisar mein the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.