Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya kahiye

Meem Hasan Lateefi

kya kahiye

Meem Hasan Lateefi

MORE BYMeem Hasan Lateefi

    ġhairoñ to kahnā kyā mahram se nahīñ kahtā

    maiñ ālam-e-ġham apnā aalam se nahīñ kahtā

    paḌh letī haiñ kaifiyyat kuchh taḌpī huī nazreñ

    dukh apnā maiñ har chashm-e-pur-nam se nahīñ kahtā

    rahgīr huuñ maiñ aisā har ḳham se guzartā hai

    dāvat pe jo rindān-e-ḳhurram se nahīñ kahtā

    mausam hama-gardish hai pasmānda-e-gardish meñ

    lab-tishna koī ye shai kyuuñ jam se nahīñ kahtā

    kasb-e-mut.harrik se pā-basta nasab tuġhre

    ye kyā hai koī ahal-e-ḳhātam se nahīñ kahtā

    aa dāġh-e-mohabbat ke sāñche meñ tujhe Dhālūñ

    ḳhātam se maiñ kahtā huuñ dirham se nahīñ kahtā

    kuchh baat thī kahne kuchh bhuul gayā ab maiñ

    fitrat se nahīñ kahtā aadam se nahīñ kahtā

    kahiye to nahīñ bāvar kahiye to kāfir-tar

    kahne qasam mujh ko ko maiñ zam se nahīñ kahtā

    kahlāne meñ ḳhud un kuchh takmila nā-ras hai

    ulTe unhīñ shikve haiñ kyuuñ ham se nahīñ kahtā

    haañ merī ye uljhan to har dil meñ khaTaktī hai

    kuchh muḌ ke koī zulf-e-barham se nahīñ kahtā

    kyuuñ ho na junūñ kam-go jab hotā hai ye zīrak

    dohrātī huī bāteñ mahrūm se nahīñ kahtā

    kahne se huā gahrā kuchh aur ġham-e-pinhāñ

    maiñ saa.e se kahtā huuñ hamdam se nahīñ kahtā

    jis lamhe se dekhā hai ik sher sarāpā ko

    dānista koī misra.a us dam se nahīñ kahtā

    dete haiñ vo mahfil meñ yuuñ daad 'latīfī' ko

    ash.ār ye kyā aksar mub.ham se nahīñ kahtā

    ghairon ka to kahna kya mahram se nahin kahta

    main aalam-e-gham apna aalam se nahin kahta

    paDh leti hain kaifiyyat kuchh taDpi hui nazren

    dukh apna main har chashm-e-pur-nam se nahin kahta

    rahgir hun main aisa har KHam se guzarta hai

    dawat pe jo rindan-e-KHurram se nahin kahta

    mausam hama-gardish hai pasmanda-e-gardish mein

    lab-tishna koi ye shai kyun jam se nahin kahta

    kasb-e-mutharrik se pa-basta nasab tughre

    ye kya hai koi ahal-e-KHatam se nahin kahta

    aa dagh-e-mohabbat ke sanche mein tujhe Dhaalun

    KHatam se main kahta hun dirham se nahin kahta

    kuchh baat thi kahne ki kuchh bhul gaya ab main

    fitrat se nahin kahta aadam se nahin kahta

    kahiye to nahin bawar na kahiye to kafir-tar

    kahne ki qasam mujh ko ko main zam se nahin kahta

    kahlane mein KHud un ka kuchh takmila na-ras hai

    ulTe unhin shikwe hain kyun hum se nahin kahta

    han meri ye uljhan to har dil mein khaTakti hai

    kuchh muD ke koi zulf-e-barham se nahin kahta

    kyun ho na junun kam-go jab hota hai ye zirak

    dohraati hui baaten mahrum se nahin kahta

    kahne se hua gahra kuchh aur gham-e-pinhan

    main sae se kahta hun hamdam se nahin kahta

    jis lamhe se dekha hai ek sher sarapa ko

    danista koi misra us dam se nahin kahta

    dete hain wo mahfil mein yun dad 'latifi' ko

    ashaar ye kya aksar mubham se nahin kahta

    Source :
    • Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 126)
    • Author : Munavvar Jameel
    • Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
    • Edition : 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now