kya kahiye
chaa.e kī mez se lag kar maiñ khaḌā thā ḳhāmosh
vo samosoñ se bharī plate liye paas aa.ī
aur pūchā bahut āhista se
''nāk kī kiil ko añgrezī meñ kyā kahte haiñ''
umr hogī koī chaubīs baras
DheḌh do saal kā beTā thā bahut pyārā sā
jo kabhī god meñ hotā to kabhī bhaag ke
āñgan meñ chalā jāatā thā
naak meñ baa.eñ taraf kiil thī ā.ankhoñ meñ chamak
aur chamak vo jo gunāhoñ ko chhupā letī hai
kaale bāloñ meñ guñdhī shaam kī ra.anā.ī thī
aisī ra.anā.ī jo ādāb bhulā detī hai
zabt aur fahm ko nā-vaqt sulā detī hai
ḳhuun meñ soī huī aag jagā detī hai
daad denā to bahut daur kī baat
ek bhī nazm tavajjoh se nahī us ne sunī
ham kahīñ aur rahe aur vo kahīñ aur rahī
''nāk kī kiil ko añgrezī meñ kyā kahte haiñ''
chae ki mez se lag kar main khaDa tha KHamosh
wo samoson se bhari plate liye pas aai
aur pucha bahut aahista se
nak ki kil ko angrezi mein kya kahte hain
umr hogi koi chaubis baras
DheDh do sal ka beTa tha bahut pyara sa
jo kabhi god mein hota to kabhi bhag ke
aangan mein chala jaata tha
nak mein baen taraf kil thi aaankhon mein chamak
aur chamak wo jo gunahon ko chhupa leti hai
kale baalon mein gundhi sham ki ranai thi
aisi ranai jo aadab bhula deti hai
zabt aur fahm ko na-waqt sula deti hai
KHun mein soi hui aag jaga deti hai
dad dena to bahut daur ki baat
ek bhi nazm tawajjoh se nahi us ne suni
hum kahin aur rahe aur wo kahin aur rahi
nak ki kil ko angrezi mein kya kahte hain
- Book : ishq ki taqweem men (Pg. 31)
- Author : haris khalique
- Publication : zaki sanz printer karachi (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.