kya karun
phir dil meñ dard silsila-e-jumbā hai kyā karūñ
phir ashk garm-e-dāvat-e-mizhgāñ hai kyā karūñ
phir chaak chaak siina hai āvāz duuñ kise
phir taar taar jaib-o-garebāñ hai kyā karūñ
phir ittisāl-e-gardan-o-ḳhanjar hai kyā kahūñ
phir iḳhtilāt-e-zaḳhm-o-namak-dāñ hai kyā karūñ
phir ik girah harīf-e-nafas hai kise batā.ūñ
phir ik khaTak rafīqe-e-rag-e-jāñ hai kyā karūñ
siine meñ ek dashna sā letā hai karvaTeñ
rag rag meñ ek aag sī ġhaltāñ hai kyā karūñ
jis chiiz par madār thā darmān-e-zīst kā
vo shai phir aaj dard kā unvāñ hai kyā karūñ
phir sar par abr-e-daur-e-junūñ hai ghirā huā
phir dil meñ bū-e-zulf pareshāñ hai kyā karūñ
phir ishq-e-nā-subūr kā partav hai ruuh par
phir dil huzūr-e-aql pashemāñ hai kyā karūñ
biite dinoñ kī yaad par afshāñ hai kyā karūñ
rātoñ kī nam havāoñ meñ tāroñ kī chhāñv meñ
biite dinoñ kī yaad par-afshāñ hai kyā karūñ
jis chāñdnī ko kho.e hue muddateñ huiiñ
phir zehn ke ufuq se numāyāñ hai kyā karūñ
taqdīr ne kabhī jo nikālā thā ik julūs
phir jāda-e-nafas pe ḳhirāmāñ hai kyā karūñ
vo ġham ki de chukā huuñ jise bār-hā shikast
phir dil se 'josh' dast-o-garebāñ hai kyā karūñ
phir dil mein dard silsila-e-jumba hai kya karun
phir ashk garm-e-dawat-e-mizhgan hai kya karun
phir chaak chaak sina hai aawaz dun kise
phir tar tar jaib-o-gareban hai kya karun
phir ittisal-e-gardan-o-KHanjar hai kya kahun
phir iKHtilat-e-zaKHm-o-namak-dan hai kya karun
phir ek girah harif-e-nafas hai kise bataun
phir ek khaTak rafiqe-e-rag-e-jaan hai kya karun
sine mein ek dashna sa leta hai karwaTen
rag rag mein ek aag si ghaltan hai kya karun
jis chiz par madar tha darman-e-zist ka
wo shai phir aaj dard ka unwan hai kya karun
phir sar par abr-e-daur-e-junun hai ghira hua
phir dil mein bu-e-zulf pareshan hai kya karun
phir ishq-e-na-subur ka partaw hai ruh par
phir dil huzur-e-aql pasheman hai kya karun
bite dinon ki yaad par afshan hai kya karun
raaton ki nam hawaon mein taron ki chhanw mein
bite dinon ki yaad par-afshan hai kya karun
jis chandni ko khoe hue muddaten huin
phir zehn ke ufuq se numayan hai kya karun
taqdir ne kabhi jo nikala tha ek julus
phir jada-e-nafas pe KHiraman hai kya karun
wo gham ki de chuka hun jise bar-ha shikast
phir dil se 'josh' dast-o-gareban hai kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.