kya KHabar thi
kyā ḳhabar thī riyāsat-e-islām
mujrmoñ kī panāh bhī hogī
kyā ḳhabar thī ye adl kī jāgīr
rahm kī qatl-gāh bhī hogī
pā.eñge dushmanān-e-dīñ e.azāz
qātiloñ kī rifāh bhī hogī
zulm ke haath meñ asā hogā
aur sar par kulāh bhī hogī
jahl pā.egā ilm par sabqat
aur ḳhirad gard-e-rāh bhī hogī
a.alā ohdoñ pe hoñge sab nā-ahl
tang-nazarī athāh bhī hogī
ghaat meñ hogī fauj apnī bhī
dushmanoñ kī sipāh bhī hogī
bādshah ke jo giit gā.eñge
un kī jānib nigāh bhī hogī
jo likhegā qasīda-e-shāhī
us ko tā.īd-e-shāh bhī hogī
jurm ho jā.egā bahut arzāñ
ishtihā-e-gunāh bhī hogī
sirf ġhaddār pā.eñge tamġhe
un kī hī izz-o-jāh bhī hogī
log har zulm par raheñge chup
is tarah se nibāh bhī hogī
qaum taḌpegī daad leñge vazīr
aah bhī hogī vaah bhī hogī
phir girānī kā aa.egā tūfān
muflisī be-panāh bhī hogī
khul ke hogī zaḳhīra-andozī
aur safed-o-siyāh bhī hogī
toḌeñge kamar avaam kī tex
aur ma.īshat tabāh bhī hogī
ġham kī parchhā.iyoñ se arz-e-vatan
kyā ḳhabar thī siyāh bhī hogī
aur vo vaqt phir se aa.egā
jab taraqqī kī chaah bhī hogī
log māñgeñge ik na.ī hijrat
chal paḌeñge to raah bhī hogī
kya KHabar thi riyasat-e-islam
mujrmon ki panah bhi hogi
kya KHabar thi ye adl ki jagir
rahm ki qatl-gah bhi hogi
paenge dushmanan-e-din eazaz
qatilon ki rifah bhi hogi
zulm ke hath mein asa hoga
aur sar par kulah bhi hogi
jahl paega ilm par sabqat
aur KHirad gard-e-rah bhi hogi
aala ohdon pe honge sab na-ahl
tang-nazari athah bhi hogi
ghat mein hogi fauj apni bhi
dushmanon ki sipah bhi hogi
baadshah ke jo git gaenge
un ki jaanib nigah bhi hogi
jo likhega qasida-e-shahi
us ko taid-e-shah bhi hogi
jurm ho jaega bahut arzan
ishtiha-e-gunah bhi hogi
sirf ghaddar paenge tamghe
un ki hi izz-o-jah bhi hogi
log har zulm par rahenge chup
is tarah se nibah bhi hogi
qaum taDpegi dad lenge wazir
aah bhi hogi wah bhi hogi
phir girani ka aaega tufan
muflisi be-panah bhi hogi
khul ke hogi zaKHira-andozi
aur safed-o-siyah bhi hogi
toDenge kamar awam ki tex
aur maishat tabah bhi hogi
gham ki parchhaiyon se arz-e-watan
kya KHabar thi siyah bhi hogi
aur wo waqt phir se aaega
jab taraqqi ki chah bhi hogi
log mangenge ek nai hijrat
chal paDenge to rah bhi hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.