kya likhun
aksar
likhte hue aatā hai
dil meñ ye savāl
kyā likhūñ
us ujle savere ko
jo laatā hai apne saath Dheroñ ummīdeñ
yā likhūñ
raat ke us añdhere ko
jo de jaatā hai āñkhoñ meñ hazāroñ sapne
kyā likhūñ
in mahaktī havāoñ ko
jo har pal ehsās dilātī haiñ
ki zinda ho tum
yā likhūñ
un an-ginat duāoñ ko
jin meñ huuñ maiñ sirf maiñ
kyuuñ na likhūñ
us hasīn chāñd ko
jo sikhātā hai mujhe
sar uThā kar āsmāñ kī or dekhnā
yā likh duuñ
un ujle sitāroñ ko
jo sikhāte haiñ
khud ko sameT kar chamakte rahnā
aur agar bikhro bhī
to TuuT kar duā ban jaanā
aksar
likhte hue aata hai
dil mein ye sawal
kya likhun
us ujle sawere ko
jo lata hai apne sath Dheron ummiden
ya likhun
raat ke us andhere ko
jo de jata hai aankhon mein hazaron sapne
kya likhun
in mahakti hawaon ko
jo har pal ehsas dilati hain
ki zinda ho tum
ya likhun
un an-ginat duaon ko
jin mein hun main sirf main
kyun na likhun
us hasin chand ko
jo sikhata hai mujhe
sar uTha kar aasman ki or dekhna
ya likh dun
un ujle sitaron ko
jo sikhate hain
khud ko sameT kar chamakte rahna
aur agar bikhro bhi
to TuT kar dua ban jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.