kya rishta hai mera
aksar maiñ ne ye sochā hai
tujh se kyā rishta hai merā
is duniyā meñ kitne chehre
apne bhī begāne bhī haiñ
jaane bhī haiñ anjāne bhī haiñ
chehroñ kī isī jhurmuT meñ hai
terā chehra aisā chehra
zehn ke ā.īna-ḳhāne meñ roz-e-azal se jo rahtā hai
sapnoñ ke sāñchoñ meñ Dhal kar
rang badal kar ruup badal kar
aatā hai
ghere rahtā hai mujh ko halqe meñ yādoñ ke
yādoñ kī isī rāhguzar meñ
lākhoñ mahfil lākhoñ chehre
phir bhī mere dil darpan meñ
rahtā hai bas terā chehra
tere aage sajda karūñ
dil kahtā hai
terā vajūd mirī nazroñ meñ
hai na haqīqī hai na majāzī
tujh se kyā rishta hai merā
naam nahīñ hai is rishte kā
bas be-nām sā ik rishta hai
rishtoñ aur sapnoñ kī saarī bahs purānī
phir bhī tere
naam ke aate hī ye rishte
aur ye sapne
ruup haqīqat kā lete haiñ
tāzgī in meñ aa jaatī hai
josh nayā jazba an-jānā aa jaatā hai
jaise jaise vaqt guzar jaatā hai yādoñ ke nuqūsh
gahre hote jaate haiñ
ehsās kī shiddat
baḌhtī jaatī hai
vaqt guzar jā.egā ik din
shahr ujaḌ jā.eñge ik din
lekin
terī yaad kī ḳhushbū rah jā.egī
aur
āvāz kā paikar rangoñ meñ Dhal jā.egā
ḳhushbū ko rokā hai kis ne
āvāzeñ kab qaid huī haiñ
chāhat kab zanjīroñ ko detī hai dāvat
is liye lagtā hai shāyad
lamha-lamha pal-pal tere qurb kī ḳhushbū
baḌhtī jaatī hai
āvāz kā paikar
dā.era phailātā jaatā hai
chāhat kā ākāsh
ghanerā hotā jaatā hai
aksar main ne ye socha hai
tujh se kya rishta hai mera
is duniya mein kitne chehre
apne bhi begane bhi hain
jaane bhi hain anjaane bhi hain
chehron ki isi jhurmuT mein hai
tera chehra aisa chehra
zehn ke aaina-KHane mein roz-e-azal se jo rahta hai
sapnon ke sanchon mein Dhal kar
rang badal kar rup badal kar
aata hai
ghere rahta hai mujh ko halqe mein yaadon ke
yaadon ki isi rahguzar mein
lakhon mahfil lakhon chehre
phir bhi mere dil darpan mein
rahta hai bas tera chehra
tere aage sajda karun
dil kahta hai
tera wajud meri nazron mein
hai na haqiqi hai na majazi
tujh se kya rishta hai mera
nam nahin hai is rishte ka
bas be-nam sa ek rishta hai
rishton aur sapnon ki sari bahs purani
phir bhi tere
nam ke aate hi ye rishte
aur ye sapne
rup haqiqat ka lete hain
tazgi in mein aa jati hai
josh naya jazba an-jaana aa jata hai
jaise jaise waqt guzar jata hai yaadon ke nuqush
gahre hote jate hain
ehsas ki shiddat
baDhti jati hai
waqt guzar jaega ek din
shahr ujaD jaenge ek din
lekin
teri yaad ki KHushbu rah jaegi
aur
aawaz ka paikar rangon mein Dhal jaega
KHushbu ko roka hai kis ne
aawazen kab qaid hui hain
chahat kab zanjiron ko deti hai dawat
is liye lagta hai shayad
lamha-lamha pal-pal tere qurb ki KHushbu
baDhti jati hai
aawaz ka paikar
daera phailata jata hai
chahat ka aakash
ghanera hota jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.