kya tumhein kuchh KHabar bhi hai ki
kyā tumheñ kuchh ḳhabar bhī hai ki
ek achchhe-bhale shaḳhs ne
ek achchhe-bhale shaḳhs ko
sāmne vaale fōtpath par maar Daalā hai
us ne coffē kī halkī sī chuskī bharī
aur chehre pe hairat kā jangal liye
mujh ko takte hue
chār-mīnār cigarette kā phir se mahūrat kiyā
aur phir
apne muñh se ugalte hue vo dhuāñ
mujh se kahne lagā
shāyad is shahr meñ tum na.e aa.e ho
kya tumhein kuchh KHabar bhi hai ki
ek achchhe-bhale shaKHs ne
ek achchhe-bhale shaKHs ko
samne wale footpath par mar Dala hai
us ne coffee ki halki si chuski bhari
aur chehre pe hairat ka jangal liye
mujh ko takte hue
chaar-minar cigarette ka phir se mahurat kiya
aur phir
apne munh se ugalte hue wo dhuan
mujh se kahne laga
shayad is shahr mein tum nae aae ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.