kya wahin miloge tum
kuchh dinoñ se maiñ jab bhī
ā.īne meñ apnī halkī safed laTeñ dekhtī huuñ
ek jānā-pahchānā rāsta nazar aatā hai
jis ke ek kināre tum chal rahe ho
dūsre pe maiñ chup-chāp ajnabī ban kar
tumhārā dhuñdlā sā chehra
vo kaalī frame vaale chashme
kānoñ ke paas ugī huī
kuchh aisī hī safed lakīreñ
maiñ tumheñ ġhaur se dekh nahīñ pā rahī
bas chalte jā rahī huuñ tumhāre saath
tum se duur ḳhāmoshī se
is baar gul-mohar ke peḌ kī taraf nahīñ
ek Dhaltī huī shaam kī or
Dūbte hue sūraj kī taraf
vo safed lakīreñ ab phail rahī hai
halkī sunahrī raushnī meñ chāñdī sī chamaktī
vo chamak merī uñgliyoñ meñ utar aatī hai
tum se duur huuñ phir kaise
andarūnī thakān dhīre dhīre baḌh rahī hai
maiñ pukārnā chāhtī huuñ tumheñ
haath baḌhā kar chhūnā
shāyad tum bhī magar
kaafī duur aa chuke hai ham
aur achānak vo shaam
gahre añdhere kueñ meñ Dūbne lagtī hai
ek bhañvar mujhe kahīñ khīñch rahī hai
maiñ ab tumheñ dekh nahīñ pā rahī
aur tum bhī mujhe DhūñDh rahe hoñge
tum ab bhī duur ho yā paas
kis kināre pe ho ab tum
kahīñ ye raat to nahīñ
vahī raat jis kā tum zikr kiyā karte the
vahī raat jis kā din nahīñ hotā
jahāñ ham mil sakte hai
kyā yahīñ miloge tum mujhe
kuchh dinon se main jab bhi
aaine mein apni halki safed laTen dekhti hun
ek jaana-pahchana rasta nazar aata hai
jis ke ek kinare tum chal rahe ho
dusre pe main chup-chap ajnabi ban kar
tumhaara dhundla sa chehra
wo kali frame wale chashme
kanon ke pas ugi hui
kuchh aisi hi safed lakiren
main tumhein ghaur se dekh nahin pa rahi
bas chalte ja rahi hun tumhaare sath
tum se dur KHamoshi se
is bar gul-mohar ke peD ki taraf nahin
ek Dhalti hui sham ki or
Dubte hue suraj ki taraf
wo safed lakiren ab phail rahi hai
halki sunahri raushni mein chandi si chamakti
wo chamak meri ungliyon mein utar aati hai
tum se dur hun phir kaise
andaruni thakan dhire dhire baDh rahi hai
main pukarna chahti hun tumhein
hath baDha kar chhuna
shayad tum bhi magar
kafi dur aa chuke hai hum
aur achanak wo sham
gahre andhere kuen mein Dubne lagti hai
ek bhanwar mujhe kahin khinch rahi hai
main ab tumhein dekh nahin pa rahi
aur tum bhi mujhe DhunDh rahe honge
tum ab bhi dur ho ya pas
kis kinare pe ho ab tum
kahin ye raat to nahin
wahi raat jis ka tum zikr kiya karte the
wahi raat jis ka din nahin hota
jahan hum mil sakte hai
kya yahin miloge tum mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.