kya ye mumkin hai
surḳh hoñToñ ke asar se
udaas rātoñ ke
be-qarār lamhoñ meñ
jab kabhī
yādoñ ke aaseb
zehn pe apne vajūd ke
mohr lagāte haiñ to dil
kisī ajnabī mustaqbil ke
imkān se ghabrāne lagtā hai
sochoñ kī bulandī se
sargoshiyoñ kī sadā.eñ
ḳhayāl ko thapthapā kar
savāl kartī haiñ
kyā paikar apne saa.e kī had se nikal kar
kisī na.e jahāñ kī ta.amīr kar saktā hai
kyā kisī mast nadī ke qadmoñ meñ
koī apne sarmā.e kī bheñT chaḌhā saktā hai
aao kuchh baat kareñ
batāo
kyā ye mumkin hai
surKH honTon ke asar se
udas raaton ke
be-qarar lamhon mein
jab kabhi
yaadon ke aaseb
zehn pe apne wajud ke
mohr lagate hain to dil
kisi ajnabi mustaqbil ke
imkan se ghabrane lagta hai
sochon ki bulandi se
sargoshiyon ki sadaen
KHayal ko thapthapa kar
sawal karti hain
kya paikar apne sae ki had se nikal kar
kisi nae jahan ki tamir kar sakta hai
kya kisi mast nadi ke qadmon mein
koi apne sarmae ki bhenT chaDha sakta hai
aao kuchh baat karen
batao
kya ye mumkin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.